EN اردو RO AZ
🌐
English اردو Roman Azerbaijani
🏠 🔍
Lambi Umr Ke Liye Du'a
21. Sayyid bin Taa'oos (R.A.) ne mo'tabar sanad ke saath Jameel bin Darraaj se riwaayat ki hai ke ek shakhs Imam Ja'far Sadiq Alaihis Salaam ki khidmat mein aaya aur kaha:
Maula, meri umr zyada ho gayi hai aur mere tamaam a'izza mar chuke hain aur ab mera koi moonis o hamdam nahi hai aur mujhe apni maut ka khatra laahaq hai.
To Aap (A.S.) ne farmaya ke saaleh aur naik kirdaar Mo'mineen unsiyat aur itminaan o sukoon-e-qalb ke liye a'izza se behtar hote hain aur agar tum apni aur apne a'izza wa aqaribaa ki tool-e-umr ki khwaahish rakhte ho to yeh du'a har Namaaz ke ba'd padha karo.
اَللّٰهُمَّ صَلِّ عَلٰى مُحَمَّدٍ وَاٰلِ مُحَمَّدٍ
Khoodaya Muhammad (S.A.W.) o Aal-e-Muhammad (A.S.) par rehmat naazil farma
اَللّٰهُمَّ اِنَّ رَسُوْلَكَ الصَّادِقَ الْمُصَدَّقَ
Parwardigaar tere Rasool Saadiq Musaddiq ne
صَلَوَاتُكَ عَلَيْهِ وَاٰلِهٖ
Durood o salaam ho un par aur unki Aal (A.S.) par
قَالَ اِنَّكَ قُلْتَ
unhon ne yeh kaha hai aur teri zubaan se naql kiya hai ke tu ne farmaaya hai
مَا تَرَدَّدْتُ فِىْ شَىْءٍ اَ نَا فَاعِلُهُ
ke main jo kuch karna chahta hoon, us mein mujhe koi taraddud nahin hota
كَتَرَدُّدِىْ فِى قَبْضِ رُوْحِ عَبْدِىَ الْمُؤْمِنِ
ilaawa is waqt ke jab kisi aise bande ki rooh qabz karna chahta hoon
يَكْرَهُ الْمَوْتَ وَاَكْرَهُ مَسَاۤئَتَهُ
jo maut ko pasand nahin karta aur main bhi use naaraaz nahin karna chahta.
اَللّٰهُمَّ فَصَلِّ عَلٰى مُحَمَّدٍ وَاٰلِ مُحَمَّدٍ
Khoodaya Muhammad (S.A.W.) o Aal-e-Muhammad (A.S.) par rehmat naazil farma,
وَعَجِّلْ لِوَلِيِّكَ الْفَرَجَ
Apne Wali ke zuhoor mein ta'jeel farma,
وَالْعَافِيَةَ وَالنَّصْرَ
Unhein aafiyat aur nusrat ataa farma
وَلَا تَسُؤْنِىْ فِىْ نَفْسِىْ
aur mujhe kisi buraai se na apne baare mein
وَلَا فِىْ اَحَدٍ مِنْ اَحِبَّتِىْ۔
aur na apne ahbaab ke baare mein dochaar na karna.
Agar tum chaho to apne ek ek dost ka naam lekar kaho:
Wa Laa Fee Fulaanin wa Laa Fee Fulaanin
Raawi ka bayaan hai ke jab maine yeh du'a paabandi ke saath padhi to mujhe itni taweel zindagi naseeb hui ke zindagi se ranjeeda ho gaya. Yeh du'a behad mo'tabar hai aur du'a ki tamaam kitaabon mein maujood hai.