EN ุงุฑุฏูˆ RO AZ
๐ŸŒ
English ุงุฑุฏูˆ Roman Azerbaijani
๐Ÿ  ๐Ÿ”
โš™
Laแน›ka hone ke liye du'a
24. Hazrat Imam Ja'far Sadiq 'alayhissalaam se manqool hai ke koi 'aurat haamila ho aur hamal ke chaar maheene guzar ga'e hoรฑ to qibla ki taraf us ka rukh kar ke Aayat-ul-Kursi padho aur us ke pehloo par haath rakh kar kaho:
ุงูŽู„ู„ู‘ูฐู‡ูู…ู‘ูŽ ุงูู†ู‘ูู‰ู’ ู‚ูŽุฏู’ ุณูŽู…ู‘ูŽูŠู’ุชูู‡ู ู…ูุญูŽู…ู‘ูŽุฏู‹ุง
Ay Ma'bood! Main ne is bachche ka naam Muhammad (S.A.W.) rakha hai
Ya'ni Parwardigaara maiรฑ ne is ka naam Muhammad sallallahu 'alayhi wa aalihi wa sallam rakha hai. Agar aisa karo ge to Khuda-e-'Alam us ko laแน›ka 'ataa kare ga. Phir agar woh us ka naam Muhammad sallallahu 'alayhi wa aalihi wa sallam hi rakhe to mubaarak ho ga. Aur agar yeh naam na rakha to agar Khuda chaahe to us se waapas le sakta hai warna us ko bakhsh de ga.