Quraan se Istikharah ki du'a
Yaad rahe ke 'Allamah Majlisi rahmatullahi 'alayhi ne ba'z 'Ulama ki ta'leefaat ki jo Shaykh Yoosuf Qaṭifi ke khaṭṭ meiñ thiiñ un se aur Aayatullah 'Allamah ki tehreer se naql kiya hai ke Imam Sadiq 'alayhissalaam se riwaayat hai ke:
Jab kabhi tum Kitaab-e-Khuda se istighaasah karne ka iraadah karo to Bismillah ke ba'd kaho:
Khuda ke naam se shuru' jo bada meherbaan nihaayat reham wala hai
اِنْ كَانَ فِىْ قَضَاۤئِكَ وَقَدَرِكَ
Ilaahi agar tere hukm aur faisle mein yeh baat hai
اَنْ تَمُنَّ عَلٰى شِيْعَةِ اٰلِمُحَمَّدٍ عَلَيْهِمُ السَّلَامُ
ke Shi'iyaan-e-Aal-e-Muhammad (A.S.) par ehsaan farmaaye
بِفَرَجِ وَلِيِّكَ
kushaa'ish o aasaa'ish de kar
وَ حُجَّتِكَ عَلٰى خَلْقِكَ
apne Wali aur apni Hujjat par jo teri makhlooq ke liye hai
فَاَخْرِجْ اِلَيْنَاۤ اٰيَةً مِنْ كِتَابِكَ
to zaahir farma hum par aisi aayat apni Kitaab se
نَسْتَدِلُّ بِهَا عَلٰى ذٰلِكَ۔
jo is par hamaari daleel ban jaaye.
Is ke ba'd Quraan-e-Majeed khole aur us ke chheh waraq shumaar kar ke saatveñ waraq shumaar kar ke dekhe aur us se apna matlab haasil kar lo.