Daarhi muñdwaane ki mazammat
Hazrat Rasool-e-Akram sallallahu 'alayhi wa aalihi wa sallam se ek riwaayat hai ke aap ne farmaaya ke mooñchhoñ ko kaṭaro aur daarhi ko baṛhaa'o aur apne ko Yahoodiyoñ aur Majuusiyoñ ki shabeeh na banaa'o ke Majuusiyoñ ne apni daarhi mooñḍi aur mooñchheiñ baṛhaa'iiñ aur ham apni mooñchheiñ mooñḍte hain aur daarhi rakhte hain aur jab Aan-Hazrat sallallahu 'alayhi wa aalihi wa sallam ka khaṭh baadshaahoñ ko mila to Kisra ne apne Yaman ke governor "Baazan" ko likha ke aap sallallahu 'alayhi wa aalihi wa sallam ko us ke paas bhej de aur us ne apne kaatib Baanooyah wa Marwi jis ko Khuṣak kaha jaata thaa ko Madinah bheja.
Un ki daarhi muñḍi hu'i aur mooñchheiñ maujood thiiñ to aap sallallahu 'alayhi wa aalihi wa sallam ne un ki taraf dekhna bhi pasand na kiya. Farmaaya tum par waaye ho kis ne tumheiñ is ka hukm diya hai? Unhoñ ne kaha ke hamaare Rabb "Kisra" ne to aap ne farmaaya ke mere Parwardigaar ne mujhe mooñchheiñ mooñḍne aur daarhi rakhne ka hukm diya hai.