Mayyit ka Kafan wa Hanooṭ
Phir mayyit ko kafan pehnaaye aur raan pech laaye, phailaaye aur us par thoṛi si roo'i rakhe aur thoṛa sa zereerah (khushboo-daar booṭi) chhiṛak de aur use mayyit ki agli pichhli sharm-gaah par rakhe aur pichhli sharm-gaah par roo'i rakh de phir us ko baandh de us ki raan par aur donon raanoñ ko milaa de phir us ki luñgi ko baandh de naaf se jahaañ tak jaaye, phir pairahan pehnaaye aur us ke oopar sartaa-sari aur us ke oopar burd-e-yamaani jo us ki qaa'im muqaam ho aur mayyit ke saath woh jareedah rakhe khurmah ki lakṛi ki ya kisi aur ki aur us ko taazah hona chaahiye aur us ki lambaa'i ek haath ke baraabar honi chaahiye.
Un meiñ se ek mayyit ke daahni jaanib badan se milaa rakhe jo luñgi ke baandhne ki jagah hai aur doosri baa'iiñ taraf pairahan aur sartaa-sari ke darmiyaan meiñ rakhe aur muqaamaat-e-sajdah par kafoor se mile ya'ni peshaani, hatheli, ghutne aur pairoñ ke aañgūṭhe aur agar kafoor bach jaaye to us ko us ke seenah par rakh de aur kafan ko lai-peṭ de aur sir aur pair ki jaanib se baandh de aur jis waqt supard-e-lahd kare to kafan ki girah khol de aur jab kafan se faarigh hoñ to use taaboot meiñ rakh kar us ko le jaayeñ taa-ke namaaz paṛheñ.