EN اردو RO AZ
🌐
English اردو Roman Azerbaijani
🏠 🔍
Janaazah ko kaandha dene ke aadaab
Mu'allif-e-kitaab Shaykh Abbas Qummi rahmatullahi 'alayhi farmaate hain ke Shaykh Ṭoosi rahmatullahi 'alayhi ne Misbah-ul-Mutahajjid meiñ farmaaya hai aur mustahab bhi hai ke taaboot ko chaaroñ goshoñ se kaandha diya jaaye ya'ni pehle mayyit ke daahne shaane ko kaandha de phir pairoñ ki taraf aa kar daayeñ phir pairoñ ko kaandha de.
Al-mukhtaṣar yeh ke taaboot ko chaaroñ goshoñ ko is tarah kaandha de ke chaaroñ taraf mukammal ghoom jaaye jis tarah chaki ka patthar ghoomta hai.