EN اردو RO AZ
🌐
English اردو Roman Azerbaijani
🏠 🔍
Dafn ke ahkaam
Qabr meiñ maujood shakhs jab baahar nikalna chaahe to paayeñti ki taraf se baahar aaye. Us ke ba'd qabr bhar di jaaye aur us ko zameen se chaar uñgal buland kar diya jaaye aur qabr par us ke 'ilaawah koi doosri koi miṭṭi na daali jaaye aur qabr par sarhaane koi takhti ya eeñṭ rakh di jaaye. Phir qabr par paani daala jaaye. Paani ko sir ki taraf se ḍaalna shuru' kare aur poora chakkar lagaa kar sir ke paas isi muqaam par pahuñch jaaye jahaañ se paani ḍaalna shuru' kiya hai agar is meiñ kuch paani baaqi reh jaaye to use darmiyaan-e-qabr meiñ ḍaal diya jaaye.