Doosri Namaz-e-Wahshat
Sheikh Abbas Qummi ra ka bayan hai ke Kafa'mi ra ne bhi is namaz ko isi tareeqa se naqal kiya hai. Lekin maine baaz kitabon mein dekha hai ke Surah-e-Hamd ke baad Ayat-ul-Kursi ek martaba aur Tauheed do martaba.
Aur Allama Majlisi ra ne Zaad-ul-Ma'aad mein farmaya hai ke apne murdon ko faramosh na karo ke ab woh majboor ho chuke aur naik a'maal anjaam nahin de sakte hain aur ab woh sirf apni aulaad, a'izza aur biradaraan-e-eemaani ke ehsaan ki aas lagaye us ke muntazir rehte hain.
Khaas taur se namaz-e-shab aur waajib namazon ke baad aur maqamaat-e-muqaddasa mein du'a karni chahiye aur sab se zyada walidain ke liye du'a karni chahiye aur a'maal-e-khair baja lana chahiye.
Riwayat mein hai ke bahut saari aulaad jo walidain ki zindagi mein aaq ho jati hai woh un ke inteqaal ke baad naik kirdaar ho jati hai. Sirf un a'maal-e-khair ki bina par jo un ke liye anjaam deti hai.
Aur ba-auqaat walidain ki zindagi mein to aulaad naik kirdaar hoti hai lekin un ke inteqaal ke baad aaq ho jati hai ke un ke liye jo a'maal-e-khair anjaam dena chahte the woh kam anjaam diye hain.
Walidain aur doosre tamam a'izza ke liye behtareen amal-e-khair yeh hai ke un ka qarz ada kar de aur unhein Khuda aur bandon ke huqooq se bari kar de aur Hajj ya doosri chhooti hui ibaadaat ko ijaara par ya fi sabeelillah baja laaye.
Hadees sahih mein manqool hai ke Hazrat Imam Ja'far Sadiq a.s. har raat apne farzand ke liye aur har din apne walidain ke liye do raka'at namaz padha karte the. Pehli raka'at mein Inna Anzalnaahu aur doosri raka'at mein Inna A'taina.
Aur sahih sanad ke saath Hazrat Imam Sadiq a.s. se manqool hai ke ba-auqaat aisa hota hai ke koi mayyit mushkilaat aur sakhtiyon mein giraftar hoti hai aur Khuda-wand Aalam us ki mushkilaat ko door kar ke use raahat wa sukoon ata kar deta hai. To us se kaha jata hai ke tujhe jo yeh sukoon haasil hua hai yeh tere fulan biradar-e-momin ki bina par hai jis ne tere liye namaz padhi hai.
Raawi ne sawaal kiya ke kya do mayyiton ko ek namaz mein shareek kar sakte hain? Farmaya beshak.
Phir farmaya ke mayyit ke liye jo namaz padhi jati hai ya du'a-e-istighfaar ki jati hai woh us se isi tarah khushhaal hota hai jis tarah zinda ko tohfa diya jata hai aur farmaya ke jitne bhi naik a'maal hain jaise namaz, roza, Hajj wa sadqaat waghaira yeh sab mayyit ki qabr mein pahunchte hain aur uska sawaab murda aur anjaam dene wale donon ke liye likha jata hai.
Aur doosri hadees mein hai ke jo shakhs musalman bhi kisi mayyit ke liye koi amal-e-saaleh kare Khuda-wand Aalam us ke sawaab ko doguna kar deta hai aur us ke amal se mayyit ko bhi faayda hota hai aur riwayat mein hai ke jo shakhs bhi kisi mayyit ki niyat se sadqa nikaale to Khuda-wand Aalam Jibreel ko hukm deta hai ke sattar hazaar farishte us ki qabr ke paas jayen aur har ek ke haath mein ne'mat-e-ilaahi ka ek tasht hota hai aur sab us se kehte hain "Assalamu Alayka" Aye Khuda ke dost! Yeh fulan momin ka tohfa hai jis ke baad us ki qabr noorani ho jati hai aur Parwardigaar Jannat mein use hazaar shehr ata farmata hai aur hazaar hooron se uska nikaah kar deta hai aur hazaar hulley pehna deta hai aur us ki hazaar haajaton ko poora kar deta hai.