Namaz-e-Hadees-e-Nafs
Hazrat Imam Ja'far Sadiq Alaihissalam se riwayat hai ke koi momin aisa nahin hai jis ke chalees din guzar jayen aur us ke dil mein hadees-e-nafs waswasa na paida ho lehaza jab aisa ho to do raka'at namaz padh kar Khuda-wand Aalam ki panah maange.
Aur Aap a.s. hi se manqool hai ke Hazrat Adam a.s. ne Khuda-wand Aalam se waswasa ki shikaayat ki to Jibreel yeh hukm-e-Parwardigaar laaye ke Aap yeh kahein.
Nahin koi taaqat o quwwat magar jo Khuda se hai.
Hazrat Adam a.s. ne aisa kaha to Aap a.s. ka waswasa door ho gaya.
Is ke baad Aap a.s. ne farmaya ke yahi "La hawla wa laa Quwwata illa billah" ki haqeeqat hai aur Hazrat Imam Muhammad Baqir a.s. se riwayat hai ke ek shakhs Hazrat Rasool (S) Akram ki khidmat mein haazir hua aur Aap (S) se waswasa aur bhaari qarz aur faqeeri ki shikaayat ki to Aap (S) ne farmaya ke kaho:
تَوَكَّلْتُ عَلَى الْحَىِّ الَّذِىْ لَايَمُوْتُ
Mera i'temaad us Khuda-e-Zindah par hai jiske liye maut nahin.
وَ الْحَمْدُلِلّٰهِ الَّذِىْ لَمْ يَتَّخِذْ وَلَدًا
Saari hamd us Allah ke liye hai jisne na kisi ko apna beta banaaya
وَ لَمْ يَكُنْ لَّهُ شَرِيْكٌ فِى الْمُلْكِ
na koi uske mulk mein shareek hai
وَلَمْ يَكُنْ لَّهُ وَلِىٌّ مِّنَ الذُّلِّ
aur na koi uski kamzori ka Wali hai.
وَ كَبِّرْهُ تَكْبِيْرًا۔
Saari kibriyaai usi ke liye hai.
Kuchh din na guzre the ke woh shakhs Hazrat ki khidmat mein aaya aur kehne laga ke Ya Rasool (S) Allah Khuda-wand Aalam ne mera waswasa door kar diya hai. Mere qarz ko ada kar diya hai aur mujhe faqeeri se nijaat ata farma di hai.
Aur riwayat mein hai ke shaitan ke waswase ko door karne liye jab kabhi bhi tumhare seena mein shak paida ho to kaho:
هُوَ الْاَوَّلُ وَالْاٰ خِرُ
Wahi Awwal hai wahi Aakhir hai
وَالظَّاهِرُ وَالْبَاطِنُ
Woh Zaahir hai aur Posheedah bhi
وَ هُوَ بِكُلِّ شَىْءٍ عَلِيْمٌ۔
Aur woh har cheez ka jaan-ne wala hai.