Namaz-e-Ada-e-Qarz wa Kifaayat az Zulm-e-Haakim
Sheikh Tusi ra ne riwayat ki hai ek shakhs Hazrat Imam Ja'far Sadiq Alaihissalam ki khidmat mein aaya aur arz ki ke Maula main Aap ki khidmat mein is qarz ki shikaayat le kar aaya hoon jis ne mujhe jakad rakha hai aur us baadshah ki jo mujh par zulm kar raha hai lehaza Aap a.s. mujhe aisi du'a ta'leem dein jis se maal haasil kar ke apna qarz ada kar doon aur haakim ke zulm ko radd kar sakoon.
Farmaya jab raat ki taareeki phail jaye to do raka'at namaz padho. Pehli raka'at mein Surah-e-Hamd aur Ayat-ul-Kursi aur doosri raka'at mein Surah-e-Hashr ka aakhri hissa padho.
Phir Quran Majeed le kar use apne sir par rakho aur kaho:
Khoodaya is Qur'an ka waasta
وَ بِحَقِّ مَنْ اَرْسَلْتَهُ بِهِ
jise tu ne Qur'an diya uska
وَ بِحَقِّ كُلِّ مُؤْمِنٍ مَدَحْتَهُ فِيْهِ
aur uska waasta jis Momin ki madah tu ne Qur'an mein ki
وَ بِحَقِّكَ عَلَيْهِمْ
tere haqq ka waasta
فَلَاۤ اَحَدَ اَعْرَفُ بِحَقِّكَ مِنْكَ۔
jo un par hai aur tere siwa is haqq ko jaan-ne wala koi nahin ya
Phir das martaba kaho:
بِكَ يَا اللّٰهُ
Allah tera waasta
یَا مُحَمَّد
Ya Muhammad (S.A.W.)!
، يَا عَلِىُّ،
Ya Ali (A.S.)!
يَا فَاطِمَةُ،
Ya Faatimah (A.S.)!
يَا حَسَنُ،
Ya Hasan (A.S.)!
يَا حُسَيْنُ
Ya Husain (A.S.)!
يَا عَلِىَّ بْنَ الْحُسَيْنِ
Ya Ali binul Husain (A.S.)!
يَا مُحَمَّدَ بْنَ عَلِيٍّ
Ya Muhammad bin Ali (A.S.)!
يَا جَعْفَرَ بْنَ مُحَمَّدٍ
Ya Ja'far bin Muhammad (A.S.)!
يَا مُوْسَى بْنَ جَعْفَر
Ya Musa bin Ja'far (A.S.)!
،يَا عَلِىَّ بْنَ مُوْسٰ
Ya Ali bin Musa (A.S.)!
، يا مُحَمَّدَ بْنَ عَلِيّ
Ya Muhammad bin Ali (A.S.)!
، يَا عَلِىَّ بْنَ مُحَمَّدٍ،
Ya Ali bin Muhammad (A.S.)!
يَا حَسَنَ بْنَ عَلِيّ
Ya Hasan bin Ali (A.S.)!
، بِالْحُجَّةِ۔
Ya Hujjat (A.S.)!
Phir apni haajat talab karo.
Raawi ka bayan hai ke woh shakhs chala gaya. Kuchh arsa ke baad aaya to us ka qarz ada ho chuka tha aur zulm-e-haakim ka masla bhi hal ho gaya tha aur us ke maal mein izafa ho gaya tha.
Sheikh Abbas Qummi ra farmate hain ke zaahir yeh hai yeh amal namaz ke baad anjaam diya jaye.