EN اردو RO AZ
🌐
English اردو Roman Azerbaijani
🏠 🔍
Faza'il Ta'qibaat
Aur Namaaz se faarigh ho kar Ta'qibaat padhna shuroo' kare kyunke is ki bahut taakeed ki gayi hai.
Khudaawand-e-Aalam ka irshaad hai ke:
فَاِذَا فَرَغْتَ فَانْصَبْ
Lihaaza jab aap faarigh ho jaayen to nasb kar dein
وَاِلٰى رَبِّكَ فَارْغَبْ۔
aur apne Rabb ki taraf rukh karein
Aur riwaayat mein is ki tafseer yeh waarid hui hai ke jab Namaaz se faarigh ho jaao to zehmat bardaasht karte hue Khudaawand-e-Aalam ki baaragah ki taraf mutawajjih ho jaao aur us se apni haajatein talab karo aur iske alaawa har ek se apni ummeed ko bilkul tod lo.
Hazrat Ameer-ul-Mo'mineen Alaihis Salaam se manqool hai ke jab tum Namaaz tamaam kar lo to haathon ko aasmaan ki taraf buland karke du'a ki zehmat bardaasht karo.
Riwaayat mein waarid hua hai ke Ta'qibaat padhne se rizq mein ziyaadti hoti hai.