Du'a Qabool Hone ke Wazaif
Sheikh Abbas Qummi ra farmate hain ke Sayyid bin Ta'us ra ne Jamaal-ul-Usbu' mein ek yeh baat bhi kahi hai ke jab kabhi Khuda-wand Aalam se koi haajat talab karo to kam se kam tumhari haalat aisi ho to jaise kisi dunyawi baadshah se koi haajat talab karte ho. Ya'ni pehle jitna mumkin ho use khush karte ho. Lehaza jab Khuda se haajat talab karo to yahi koshish karo ke us ki raza aur khushnudi haasil kar lo.
Aisa hargiz na ho ke Khuda ki taraf tumhari tawajjuh dunyawi baadshahon se kam ho aur agar tumhari yahi haalat ho gi to tum istehzaa karne wale aur halaak hone walon mein shumaar hoge.
Bhala yeh kis tarah mumkin hai ke Khuda ko raazi karne ke liye insaan ka ihtimaam makhlooq ko raazi karne ka ihtimaam se bhi kam ho aur baadshahon ki haisiyat Khuda-wand Aalam ki azmat se bhi zyada ho warna is tarah tum ne Khuda ka mazaq udaaya hai aur us ko halka samjha hai aur us ki azmat wa jalalat ko haqeer samjha hai aur us se munh pher liya hai.
Afsos ke tum aisi soorat mein namaz ya rone ke zariye apni haajat haasil na kar sakoge lehaza zaroori hai ke tumhari namaz aur roza tajurba ke liye na ho. Insaan sirf uska tajurba karta hai jis se badgumaan ho. Jab ke Khuda-wand Aalam ne un logon ki mazammat ki hai jo us ke baare mein bure gumaan rakhte hain. Irshaad hota hai.
Yazunnoona billahi zannas-sau' alaihim daa'iratus-sau'
Balkeh zaroori hai ke itminaan-e-kamil ke saath us ke waadon par e'temaad karte hue haajat talab karo aur us se tumhari umeed us se zyada ho jitni ek gram sona Haatim Taa'i se maangte waqt umeed rakhte ho ke agar tum us se ek gram maango to tumhein qawi yaqeen hota hai ke woh tum ko ata kar dega.
Yaad rakho ke tumhari haajat Khuda-wand Aalam ke nazdeek us se kahin kamtar aur past tar hai jitni ahmiyat Haatim ke nazdeek ek gram ki hai. Lehaza hargiz hargiz Khuda par tumhara e'temaad kam na hone paye aur tumhare liye yeh bhi munasib hai ke jab kabhi kisi haajat ke liye namaz padho ya roza rakho to is kaam mein pehle sab se zyada zaroori aur ahem, phir zaroori, phir us se kamtar apni deeni haajaton ki niyat karo aur yaad rakho ke un tamam haajaton mein sab se zyada ahem aur zaroori us ki haajatein hain jin ki panah-e-hidaayat mein tum zindagi basar kar rahe ho aur woh tumhare Imam-e-Zamana 'ajjallalahu farajahum hain.
Lehaza zaroorat hai apni namaz wa roza mein pehle un ki zarooraton ke poora hone ke liye du'a karo us ke baad apni zarooraton ke liye aur phir us haajat ke liye aur phir us haajat ke liye jo tumhein pesh aa gayi hai aur jis ka tum ne iraada kiya hai. Jaise agar koi zaalim tumhare qatl ka iraada rakhta ho aur tum haajat ka roza rakho taa ke us ke shar se nijaat haasil kar sako to yeh yaad rakho ke is se zyada ahem tumhari deeni haajtein ya'ni Khuda-wand Aalam ki khushi aur maghfirat waghaira hain.
Aur yeh ke woh tumhari taraf rehmat ka rukh kar ke tumhare amal ko qabool kare kyun ke tumhare qatl se tumhari dunya to kharab ho sakti hai magar deen khatra mein nahin hai aur agar tum qatl na bhi hue to bhi ek din marna bahar haal hai lekin agar Khuda-wand Aalam raazi na ho aur us ne gunaahon ko mu'aaf na kiya to dunya aur aakhirat donon mein hi halaakat hai aur tumhein un mushkilaat aur mashaqqaton ka saamna karna padega jin ka tasawwur bhi tumhare liye na mumkin hai.
Lekin hum ne jo yeh kaha hai ke Imam-e-Zamana 'ajjallalahu farajahum ki haajaton ko apni haajaton par muqaddam rakho. Is ki wajah yahi hai ke dunya aur ahl-e-dunya ki baqaa sirf Aap ke wujood par munhasir hai aur sirf is ki wajah se mahfooz hai to tum apni haajaton aur muradon ko us ki haajat par kaise muqaddam kar sakte ho?
Zaroorat hai ke pehle un ki haajaton ke baare mein du'a karo aur yaad rakho ke woh Hazrat apni haajaton mein tumhare namaz wa roza se mustaghni hain aur unhein tumhari koi zaroorat nahin hai lekin yeh tumhari ghulami ka taqaaza hai ke aisa zaroor karo jis tarah ke apni du'aon ka aaghaz un par salawat bhej kar karte ho.