EN اردو RO AZ
🌐
English اردو Roman Azerbaijani
🏠 🔍
Imam Ja'far Sadiq a.s. se sahih sanad ke saath naql kiya gaya hai ke jo shakhs Shab-e-Juma mein naafila-e-shaam ke sajda-e-aakhir mein saat martaba is du'a ko padhega us ki gunaahon ko mu'aaf kar diya jaayega aur agar har shab mein aisa hi karega to aur zyada behtar hoga. Du'a yeh hai.
اَللّٰهُمَّ اِنِّيْ اَسْاَلُكَ بِوَجْهِكَ الْكَرِيْمِ
Khudaaya mein tujh say teri Zaat-e-Aqdas
وَ اِسْمِكَ الْعَظِيْمِ
aur teray Naam-e-Buzurg kay waseelah say du'a karta hoon
اَنْ تُصَلِّيَ عَلٰى مُحَمَّدٍ وَ اٰلِ مُحَمَّدٍ
kay Muhammad (S.A.W.W.)-o-Aal-e-Muhammad (S.A.W.W.) par rehmat naazil farma
وَ اَنْ تَغْفِرَ لِي ذَنْبِيَ الْعَظِيْمَ ۔
aur meray 'Azeem gunaahon ko ma'aaf farma day.