EN اردو RO AZ
🌐
English اردو Roman Azerbaijani
🏠 🔍
Ta'qibaat-e-Namaz-e-Maghrib
Ta'qeeb Namaz-e-Maghrib ba-riwayat Misbah Mutahajjid
(Ta'qeeb Namaaz-e-Maghrib ba-riwaayat Misbaah-e-Mutahajjid)
Tasbeeh Janab Zahra ke baad is tarah kahe
(Tasbeeh-e-Janaab-e-Zahraa kay ba'd is tarah kahay)
اِنَّ اللهَ وَ مَلَاۤئِكَتَهُ يُصَلُّوْنَ عَلَى النَّبِيِّ
Yaqeenan Allah aur us kay malaa'ikah Paighambar (S.A.W.W.) par salawaat bhejtay hain.
يَاۤ اَيُّهَا الَّذِيْنَ ءَامَنُوْا صَلُّوْا عَلَيْهِ وَ سَلِّمُوْا تَسْلِيْمًا
Imaan waalon tum bhi un par salawaat-o-salaam bhejo.
اَللّٰهُمَّ صَلِّ عَلٰى مُحَمَّدٍ النَّبِيِّ
Khudaaya Nabi-e-Kareem Hazrat Muhammad (S.A.W.W.)
وَ عَلٰى ذُرِّيَّتِهِ
aur un ki zurriyat
وَ عَلَى اَهْلِ بَيْتِهِ۔
aur un kay Ahle Bait ('A.S.) par rehmat naazil farma.
Is ke baad saat martaba kahe
(Is kay ba'd kahay)
بِسْمِ اللّٰهِ الرَّحْمٰنِ الرَّحِيْمِ
Banaam Khudaay-e-Rahmaan-o-Raheem
وَ لَا حَوْلَ وَ لَا قُوَّةَ اِلَّا بِاللّٰهِ الْعَلِيِّ الْعَظِيْمِ۔
Koi taaqat, koi quwwat Khudaay-e-'Ali-o-'Azeem say haṭ kar nahin hai.
Aur phir teen martaba kahe
(Aur us kay ba'd jab naafilah tamaam ho jaa'ay to jo ta'qeebaat bhi paṛhna chaahay paṛh sakta hai. Behtar yeh hai kay das (10) martabah kahay)
اَلْحَمْدُ لِلّٰهِ الَّذِيْ يَفْعَلُ مَا يَشَاۤءُ
Saari hamd us Allah kay liye hai kay woh jo chaahay kar sakta hai
وَ لَا يَفْعَلُ مَا يَشَاۤءُ غَيْرُهُ
aur us kay 'ilaawah jo bhi chaahay nahin kar sakta.
Is ke baad kahe
(Is kay ba'd yeh du'a paṛhay.)
سُبْحَانَكَ لَاۤ اِلٰهَ اِلَّا اَنْتَ
Tu be-niyaaz hai, teray 'ilaawah koi Khuda nahin hai.
اغْفِرْ لِي ذُنُوْبِيْ كُلَّهَا جَمِيْعًا
Meray tamaam gunaahon ko ma'aaf kar day
فَاِنَّهُ لَا يَغْفِرُ الذُّنُوْبَ كُلَّهَا جَمِيْعًا اِلَّا اَنْتَ:
kay un tamaam gunaahon ka ma'aaf karnay waala teray 'ilaawah koi nahin hai.
Is ke baad chaar raka'at Namaz-e-Naafila-e-Maghrib adaa kar ke [do do raka'at kar ke] magar un ke darmiyan kalaam na kare. Sheikh ne farmaya hai ke riwayat mein pehli raka'at mein Surah al-Kafirun (No. 109) aur doosri raka'at mein Surah al-Tawheed waarid hua hai. Baqi do raka'aton mein jo surah chahe padh sakta hai. Ek riwayat mein hai ke Ali Naqi a.s. teesri raka'at mein Surah Hamd aur Surah al-Hadid, ki ibteda se wa alaihim bi zaat-is-sodoor tak aur chauthi raka'at mein Surah Alhamd ke baad Surah al-Hashr ka aakhri hissa Law Anzalnaa Haazal Qur'an ke aakhir surah tak padha karte the. Mustahab hai ke nawaafil ke aakhri sajda mein har shab aur khusoosan Shab-e-Juma saat martaba yeh du'a padhe.
اَللّٰهُمَّ اِنِّي اَسْاَلُكَ بِوَجْهِكَ الْكَرِيْمِ
Khudaaya mein teri Zaat-e-Kareem,
وَ اسْمِكَ الْعَظِيْمِ
Ism-e-'Azeem aur
وَ مُلْكِكَ الْقَدِيْمِ
Mulk-e-Qadeem kay waseelah say
اَنْ تُصَلِّيَ عَلٰى مُحَمَّدٍ وَ اٰلِهِ
yeh sawaal karta hoon kay Muhammad (S.A.W.W.)-o-Aal-e-Muhammad (S.A.W.W.) par rehmat naazil farma
وَ اَنْ تَغْفِرَ لِيْ ذَنْبِيَ الْعَظِيْمَ
aur meray 'Azeem gunaahon ko ma'aaf kar day kay
اِنَّهُ لَا يَغْفِرُ الْعَظِيْمَ اِلَّا الْعَظِيْمُ،
itnay 'Azeem gunaahon ko siwaa'ay Khudaay-e-'Azeem kay koi ma'aaf nahin kar sakta hai.
Aur us ke baad jab naafila tamam ho jaye to jo ta'qee baat bhi padhna chahe padh sakta hai. Behtar yeh hai ke das 10 martaba kahe
مَا شَاۤءَ اللهُ
Jo Allah nay chaaha woh ho gaya keh
لَا قُوَّةَ اِلَّا بِاللّٰهِ
us kay 'ilaawah kisi kay paas quwwat nahin hai
اَسْتَغْفِرُ اللهَ
mein usi say istighfaar karta hoon.
Is ke baad yeh du'a padhe.
اَللّٰهُمَّ اِنِّي اَسْاَلُكَ مُوْجِبَاتِ رَحْمَتِكَ
Khudaaya mein tujh say rehmat kay asbaab
وَ عَزَاۤئِمَ مَغْفِرَتِكَ
aur yaqeeni maghfirat ka sawaal kar raha hoon
وَ النَّجَاةَ مِنَ النَّارِ
aur yeh chahta hoon hoon kay mujhay jahannum say
وَ مِنْ كُلِّ بَلِيَّةٍ
aur har balaa say nijaat day day.
وَ الْفَوْزَ بِالْجَنَّةِ
Jannat aur
وَ الرِّضْوَانَ [الرِّضْوَانِ‏] فِي دَارِ السَّلَامِ
Daar us-Salaam mein kaamyaabi 'ataa farma
وَ جِوَارَ [جِوَارِ] نَبِيِّكَ مُحَمَّدٍ عَلَيْهِ وَ اٰلِهِ السَّلَامُ
aur apnay Paighambar Hazrat Muhammad (S.A.W.W.) kay jawaar mein jagah 'inaayat farma day.
اَللّٰهُمَّ مَا بِنَا مِنْ نِعْمَةٍ فَمِنْكَ
Khudaaya meri har ne'mat teri hi taraf say hai.
لَاۤ اِلٰهَ اِلَّا اَنْتَ
Teray 'ilaawah koi Khuda nahin hai.
اَسْتَغْفِرُكَ وَ اَتُوْبُ اِلَيْكَ
Mein tujh hi say taubah-o-istighfaar kar raha hoon.