EN اردو RO AZ
🌐
English اردو Roman Azerbaijani
🏠 🔍
0:00
Du'a-e-Hifz-ul-Eemaan
Farmaa'ish ki bina par is Du'a-e-A'dilah ka padhna aur us ke ma'ani ko zehen mein rakhna waqt-e-maut ke inehraaf-e-haq se bachne ke liye behtareen faayda bakhsh hai albatta yeh du'a Ma'soomeen a.s. ki hai ya kisi aalim ne use murattab kiya hai. Is silsile mein Ilm-e-Hadees ke maahir aur riwaayaat wa irshaadaat-e-Ma'soomeen a.s. ke jama' karne waale aalim khabeer aur saahib-e-baseerat muhaddith hamare ustaad Al-Haaj Mirza Husain Noori Rahmatullah Alaih ne farmaya hai ke Du'a-e-A'dilah ma'roofah Ja'far Ibn-e-Alam ki banaai hui hai aur na kisi Ma'soom a.s. se naql hui hai aur na haafizaan-e-ahaadees ki kitaabon mein is ka koi wujood paaya jaata hai. Albatta waazih rahe ke Sheikh Tusi ra ne Muhammad bin Sulaimaan Dailami se yeh riwayat ki hai ke maine Imam Ja'far Sadiq Alaihissalam se arz kiya ke Aap ke Shi'on mein yeh baat mash'hoor hai ke eemaan ki do qismein hain. Ek mustaqir wa saabit aur doosre zaa'il ho jaane ka khatra hai to Aap mujhe koi aisi du'a ta'leem kare jis ke padhne ke baad mera eemaan zaa'il na hone paaye to Aap ne farmaya ke har namaz-e-waajib ke baad yeh du'a padho.
(Farmaa'ish ki bina par is Du'a-e-'Adeelah ka parhna aur us kay ma'aani ko zehn mein rakhna waqt-e-maut kay inhiraf-e-haqq say bachnay kay liye behtareen faa'idah bakhsh hai al-battah yeh du'a ma'soomeen ('A.S.) ki hai ya kisi 'aalim nay usay murattab kiya hai. Is silsilay mein 'ilm-e-hadeeth kay maahir aur riwaayaat-o-irshaadaat-e-ma'soomeen ('A.S.) kay jam' karnay waalay 'aalim-e-khabeer aur saahib-e-baseerat muhaddith hamaaray ustaad Al-Haaj Mirza Husain Noori Rahmat ullah 'Alaih nay farmaya hai kay Du'a-e-'Adeelah ma'roofah Ja'far Ibn 'Ilm ki banaa'i hu'i hai aur nah kisi ma'soom ('A.S.) say naql hu'i hai aur nah haafizaan-e-ahaadeeth ki kitaabon mein us koi wujood paaya jaata hai. Al-battah waazeh rahay kay Shaikh Toosi (R.A.) nay Muhammad bin Sulaiman Dailami say yeh riwaayat ki hai kay mein nay Imam Ja'far Saadiq ('A.S.) say 'arz kiya kay aap kay shi'on mein yeh baat mash'hoor hai kay Imaan ki do qismein hain. Ek mustaqarr-o-saabit aur doosray zaa'il ho jaanay ka khatrah hai to aap mujhay koi aisi du'a ta'leem karain jis kay parhnay kay ba'd mera Imaan zaa'il nah honay paa'ay to aap nay farmaya kay har namaaz-e-waajib kay ba'd yeh du'a parho.)
رَضِيْتُ بِاللّٰهِ رَبًّا
Mein Khuda kay Rabb honay,
وَ بِمُحَمَّدٍ صَلَّى اللهُ عَلَيْهِ وَ اٰلِهِ نَبِيًّا
Hazrat Muhammad (S.A.W.W.) kay Nabi honay,
وَ بِالْاِسْلَامِ دِيْنًا
Islaam kay Deen honay,
وَ بِالْقُرْاٰنِ كِتَابًا
Qur'aan kay Kitaab honay,
وَ بِالْكَعْبَةِ قِبْلَةً
Ka'bay ka Qiblah honay,
وَ بِعَلِيٍّ وَلِيًّا وَ اِمَامًا
aur Hazrat Ali ('A.S.) kay Wali-e-Imam
وَ بِالْحَسَنِ وَ الْحُسَيْنِ
aur Hazrat Hasan ('A.S.)-o-Husain ('A.S.),
وَ عَلِيِّ بْنِ الْحُسَيْنِ وَ مُحَمَّدِ بْنِ عَلِيٍّ
Ali bin Al-Husain ('A.S.), Muhammad ('A.S.) bin Ali ('A.S.),
وَ جَعْفَرِ بْنِ مُحَمَّدٍ وَ مُوْسَى بْنِ جَعْفَرٍ
Ja'far ('A.S.) bin Muhammad ('A.S.), Moosa ('A.S.) bin Ja'far ('A.S.),
وَ عَلِيِّ بْنِ مُوْسٰى وَ مُحَمَّدِ بْنِ عَلِيٍّ
Ali ('A.S.) bin Moosa ('A.S.), Muhammad bin Ali ('A.S.),
وَ عَلِيِّ بْنِ مُحَمَّدٍ وَ الْحَسَنِ بْنِ عَلِيٍّ
Ali ('A.S.) bin Muhammad ('A.S.), Hasan ('A.S.) bin Ali ('A.S.),
وَ الْحُجَّةِ بْنِ الْحَسَنِ
aur Hujjat bin Al-Hasan ('A.J.) kay Peshwaa
صَلَوَاتُ اللّٰهِ عَلَيْهِمْ اَئِمَّةً
honay say raazi aur mutma'in hoon.
اَللّٰهُمَّ اِنِّيْ رَضِيْتُ بِهِمْ اَئِمَّةً
Khudaaya mein in ki Imaamat say raazi hoon to in ko
فَارْضَنِيْ لَهُمْ
mujh say raazi kar day kay
اِنَّكَ عَلٰى كُلِّ شَيْ‏ءٍ قَدِيْرٌ۔
tu har shay par qudrat aur ikhtiyaar rakhnay waala hai.