EN اردو RO AZ
🌐
English اردو Roman Azerbaijani
🏠 🔍
Masjid Buraasa Baghdad ki Taarikh
Kalaam Hamwi dar Masjid Buraasa
Waazih rahe ke Buraasa Baghdad ki ta'meer se pehle ek qariya tha jis ke baare mein logon ka khayaal yeh hai ke Ameer-ul-Momineen a.s. wahaan se us waqt guzre the jab Aap Khawarij se muqaabla ke liye ja rahe the aur Aap ne yahaan namaz padhi thi aur us hammaam mein bhi daakhil hue the jo is qariya mein tha aur is Buraasa ki taraf Abū Shu'ayb Burāsī Ābid ki nisbat hai jo pehle aadmi the jo Buraasa mein daakhil hue aur ek ma'mooli se nay ke makaan mein muqeem hue aur wahin ibaadat-e-Khuda karte rahe yahan tak ke un ke jhonpde ke paas se bade logon ki ek ladki ka guzar hua jo mahallon mein pali hui thi. Jaise hi us ki nazar Abū Shu'ayb par padi aur un ke haal ko dekha use yeh haalat pasand aayi aur Abū Shu'ayb ki jazzaabiyat ne use apni taraf mutawajjeh kar liya yahan tak ke woh us mard aabid wa zaahid ke paas aayi aur kehne lagi ke "Main chahti hoon ke main Aap ki khaadim ban kar rahoon." Unhon ne kaha ke "Mujhe manzoor hai bashartike is hai'yat aur is libaas ko alag kar do." Us ne qubool kar liya aur jo kuch tha sab ko tark kar diya aur aabidon ka libaas pehan kar waapas aayi to Abū Shu'ayb ne us se 'aqd kar liya. Jaise hi woh aurat us jhonpde mein daakhil hui us ne dekha ke Abū Shu'ayb ne zameen ki rutubat se bachne ke liye ek chataai ka tukda bichha liya hai. Us ne kaha "Main yahaan yahin reh sakti hoon jab tak ke is chataai ke tukde ko door na phenk diya jaaye." Is liye ke "Maine Aap hi se suna hai ke zameen faryaad karti hai ke farzand-e-Aadam a.s. tu ne mere aur apne darmiyaan aaj hijaab parda qaa'im kar liya hai jab ke kal mere hi shikam mein aana hai." Abū Shu'ayb ne us chataai ko door phenk diya aur woh ladki chand saal tak un ke paas rahi aur donon ne behtareen andaaz se ibaadat ki yahan tak ke donon ka inteqaal ho gaya.
Fazilat Masjid Buraasa
Mu'allif: Hum ne Kitaab Hidaayat-uz-Zaa'ireen mein bahut si riwaayatein is Masjid shareef ki fazeelat se muta'alliq naql ki hain aur yeh bayan kiya hai ke un tamaam riwaayaton se is Masjid ke chand fazaa'il ka andaaza hota hai ke un mein se koi ek bhi kisi Masjid mein paayi jaaye to logon ko wahaan jaana chahiye taa ke wahaan du'a aur namaz ke faiz ko haasil kar sakein aur woh fazaa'il yeh hain:
1. Parwardigaar-e-Aalam ka yeh faisla ke is sar zameen par koi ra'ees apne lashkar ke saath siwaaye Paighambar aur Wasi-e-Paighambar ke nahin aa sakta.
2. Yeh Hazrat Maryam ka makaan hai.
3. Yeh Hazrat Isa a.s. ki sar zameen hai.
4. Yahaan Janaab Maryam ke liye chashma jaari hua tha.
5. Yahaan Hazrat Ameer a.s. ne ba-e'jaaz chashma jaari kiya tha.
6. Yahaan ek safed baa-barkat patthar hai jis par Janaab Maryam ne Janaab Isa a.s. ko rakha tha.
7. Aan Hazrat ne is patthar ko bar-aamad kar ke qibla ki taraf nasb kar diya tha aur isi ki taraf namaz adaa ki thi.
8. Ameer-ul-Momineen a.s. aur Aap ke donon farzand Imam Hasan Mujtaba a.s. aur Imam Husain a.s. ne is jagah namaz adaa ki thi.
9. Hazrat ne yahaan chaar roz tawaqquf farmaya tha ke yeh zameen muqaddas hai.
10. Yahaan bahut se Paighambaron ne bil khusoos Janaab Ibraheem a.s. ne namaz padhi hai.
11. Yahaan ek Paighambar ki qabr hai aur shaayad woh Hazrat Yusha' a.s. hon ke un ke baare mein hamare ustaad Sheikh Noori ra ne farmaya hai ke un ki qabr Kaazimeen ke baahar Masjid Buraasa ki taraf hai.
12. Isi maqaam par Ameer-ul-Momineen a.s. ke liye aaftaab palta tha (Radd al-Shams).Magar afsos ke in tamaam fazaa'il wa manaasib aur mo'jizaat ke bawajood nahin ma'loom ke hazaaron zaa'ireen mein se koi ek shakhs bhi is taraf jaata ho jab ke woh raasta hi mein hai aur baar baar idhar se guzarte hain aur agar koi shakhs jaa kar dekhta hai ke darwaaza band hai aur ko khulwaane ke liye paisa dena padega to chand paise kharch nahin karta hai aur un azeem fuyooz wa barakaat se mahroom reh jaata hai. Haalaanke kabhi kabhi Baghdad ki imaaraton ko dekhne ke liye ya zaalimon ki imaaraton ko dekhne ke liye be-shumaar paise kharch kar deta hai bal ke manhoos Yahoodiyon ki san'aton ka khareedna ziyarat ke lawaazimaat mein tasawwur karta hai.