Imam-e-Zamana a.s. ke Chaar Naa'ib-e-Khaas
Ya'ni Janaab Abū 'Amr 'Uthmān bin Sa'īd 'Amrī. Janaab Abū Ja'far Muhammad bin 'Uthmān ra. Sheikh Abū al-Qāsim Husayn bin Rūh Nawbakhtī ra aur Sheikh Jalīl Abū al-Hasan 'Alī bin Muhammad Samarī ra. Waazih rahe ke Kaazimeen mein qiyaam ke dauraan zaa'ireen ki zimmedaariyon mein yeh bhi hai ke Baghdad jaayen aur Hazrat Imam-e-Asr a.s. ke un chaar naa'ibon ki ziyarat karein ke in mein se har ek agar door daraaz maqaam par hota to bhi momineen ka chahiye tha ke door daraaz ka safar kar ke, zehmatein bardaasht kar ke in hazraat ki ziyarat ka sharaf haasil karein. Aimma a.s. ke tamaam ashaab-e-khaas ke darmiyaan un ki buzurgi aur jalaalat wa qadr ko koi shakhs nahin paa sakta hai. Yeh sattar saal tak Imam aur qaum ke darmiyaan safaarat ke faraa'iz anjaam dete rahe aur un ke haathon par be-shumaar karamaton ka zuhoor hua hai. Ba'z 'ulamaa un ki 'ismat ke bhi qaa'il hain aur yeh bhi waazih rahe ke jis tarah yeh hazraat zindagi mein Imam a.s. aur qaum ke darmiyaan waasta the aur un ke mansoobon mein logon ke khutoot aur paighaamaat ka Hazrat tak pahunchaana tha. Is tarah marne ke baad bhi yeh shaan barqaraar hai aur un ke zariye 'areeza bheje jaate hain jaisa ke apne maqaam par waazih kiya ja chuka hai.