Ziyarat Janaab Salmān Raziyallahu Anhu
Fazilat wa Ziyarat Janaab Salmān a.s.
Waazih rahe ke zuwwaar ki zimmedaariyon mein ek zimmedaari Mada'in jaana bhi hai taa ke Banda-e-Saaleh Janaab Salmān Muhammadī ki ziyarat kare jo Eemaan ke chaar arkaan mein shaamil hain aur unhein Ahl-e-Bait a.s. mein shaamil hone ka sharaf haasil hai aur un ke baare mein Rasool-e-Akram (S) ne farmaya hai ke
Ameer-ul-Momineen a.s. ne Aap ko Luqmān Hakeem ke misl qaraar diya hai aur Imam Sadiq a.s. ne Luqmān se behtar qaraar diya hai. Hazrat Imam Muhammad Baqir a.s. ne Aap ko Mutawassimeen mein shumaar kiya hai aur riwaayaat se ma'loom hota hai ke Janaab Salmān Ism-e-A'zam bhi jaante the aur un muhaddiseen mein the jin se farishte baatein kiya karte the. Aur Eemaan ke das darajaat mein Aap daswein darjah par faa'iz the aur Aap ko ghaib aur mustaqbil ke hawaadis ka bhi 'ilm tha. Aap ne Jannat ke meve isi dunya mein nosh farmaaye hain aur behisht Aap ki mushtaaq aur 'aashiq rahi hai. Rasool-e-Akram (S) un se mohabbat karte the aur Khuda-wand Aalam ne Aap ko hukm diya tha ke chaar aadmion se mohabbat karo jin mein se Salmān bhi hain. Un ke aur un ke saathiyon ki madh mein aayatein bhi naazil hui hain. Jibreel Ameen Paighambar (S) par naazil hote the to Rasool-e-Akram (S) ke paas Parwardigaar ka yeh paighaam bhi laate the ke Salmān ko salaam pahuncha dein. Unhein amwaat, balayaa aur ansaab ka 'ilm ata karein. Un ke liye Paighambar-e-Akram (S) ne raat ke waqt ek waqt mu'ayyan kar diya tha aur Hazrat Rasool-e-Akram (S) aur Ameer-ul-Momineen a.s. ne unhein apne makhsoos 'uloom mein se woh cheezein ata farmaai thin jin ko un ke alaawa koi bhi tahammul nahin kar sakta tha. Yahan tak ke woh us martaba tak pahunch gaye ke Imam Sadiq a.s. ne farmaya ke
Zaa'ireen ke shauq wa raghbat ke liye sahaaba ke darmiyaan un ki is khusoosiyat mein ta'ammul karna kaafi hai ke Ameer-ul-Momineen a.s. ek shab mein Madeenah se Mada'in aaye aur Aap ne apne dast-e-mubaarak se Salmān ko ghusl wa kafan diya aur malaa'ika ki saffon ke saath namaz-e-janaazah adaa ki aur usi shab mein Madeenah waapas chale gaye. Kya kehna us sharaafat ka jo mawaddat wa mohabbat-e-Khaanwada-e-Risaalat ko haasil hai aur insaan ko us azeem manzil tak pahuncha deti hai.