Imam Raza a.s. ka Khuraasaan ki taraf safar karte hue Qum aana
3. Muhawwal Sajistaani se riwayat hai ke jab Ma'moon ne Imam Raza a.s. ko Madeenah se Khuraasaan talab kiya to Aap Qabr-e-Paighambar (S) ko wida' karne ke liye Masjid mein daakhil hue aur musalsal qabr mutahhar ko rukhsat karte rahe. Kabhi baahar nikal aate kabhi waapas chale jaate aur har martaba Aap ke rone ki aawaaz buland ho jaati. Maine qareeb jaa kar salaam arz kiya Aap ne jawaab-e-salaam diya. Maine safar ki mubaarakbaad di. Farmaya "Mujhe dekh lo ke ab main apne jadd ke jawaar se juda ho raha hoon aur isi ghurbat mein mera inteqaal ho jaayega aur main Haaroon ke pehloo mein dafn kiya jaoonga." Sheikh Yoosuf bin Haatim Shaami ne Ad-Dār an-Nadhīm mein farmaya hai ke ashaab Imam Raza a.s. ki ek jama'at ne riwayat ki hai ke Aan Hazrat ne farmaya ke "Jab main Madeenah se Khuraasaan aane laga to maine apne ayaal ko jama' kar ke yeh hukm diya ke mujh par girya karein taa ke main un ki aawaaz-e-girya sun loon" aur us ke baad maine un ke darmiyaan baarah hazaar deenaar taqseem kiye aur "Maine kaha ke main safar se waapas nahin aaoonga." Is ke baad main Abū Ja'far Jawaad a.s. ko le kar Masjid-e-Paighambar (S) mein gaya aur un ke haath ko qabr-e-athar par rakh kar aur qabr se lipata kar chaaha ke unhein Paighambar (S) ki hifaazat mein de doon. Aur maine apne tamaam wakeelon aur khaadimon ko hukm de diya ke un ki baat ko sunein aur un ki itaa'at karein aur khabardaar mukhaalifat na karein ke yeh mere qaa'im muqaam hain. Sayyid Abdul Kareem bin Ta'us ra ne riwayat ki hai ke jis zamaane mein Ma'moon ne Hazrat ko Madeenah se Khuraasaan talab kiya Hazrat Madeenah se Basra ki taraf chale aur Koofa nahin gaye aur Basra se Koofa ke raaste Baghdad ki taraf gaye aur wahaan se Qum pahunch gaye. Ahl-e-Qum ne Aap ka isteqbaal kiya aur aapas mein ikhtilaaf kiya ke Aap ko mehmaan banaayega. Sab ki khwaahish thi ke Hazrat usi ke ghar par waarid hon. Aap ne farmaya ke "Mera oonth ma'moor hai jahaan baith jaayega main wahin theher jaoonga." Chunanche Aap ka oonth ek darwaaza par aakar baith gaya jis ke saahib-e-khaana ne raat ko khwaab mein dekha tha ke Imam Raza a.s. kal mehmaan hone waale hain. Nateeja yeh hua ke woh jagah azmat ki maalik ho gayi aur aaj kal wahaan madarsa bana hua hai. Sheikh Sadooq ra ne apni sanad se Ishaaq bin Raahawayh se naql kiya hai ke Imam Raza a.s. Nishapur aaye aur chaaha ke wahaan se harkat karein to Aap ki khidmat mein ashaab-e-hadees jama' hue aur unhon ne guzaarish ki ke "Farzand-e-Rasool (S) Aap yahaan se jaa rahe hain lehaza hamare liye ek hadees irshaad farmaayein jis se hum istefaada karein." Hazrat ammaari mein tashreef farma the. Aap ne sir baahar nikaala aur farmaya ke "Maine apne padar-e-buzurgwaar Musa a.s. bin Ja'far a.s. se aur unhon ne padar-e-buzurgwaar Ja'far a.s. bin Muhammad a.s. se aur unhon ne apne padar-e-buzurgwaar Muhammad a.s. bin Ali a.s. se aur unhon ne apne padar-e-buzurgwaar Ali a.s. bin Husain a.s. se unhon ne apne waalid Husain a.s. bin Ali a.s. se aur unhon ne apne waalid Ameer-ul-Momineen a.s. Ali a.s. bin Abī Taalib a.s. se aur unhon ne Rasool-e-Akram (S) se aur Aap ne Jibreel Ameen se suna hai Khuda-wand Aalam ne farmaya hai."
Imam Raza a.s. ke Qubba Mutahhara ki Tehreer
Is jadeed imaarat mein Mirza Muhammad Raza Sadal-Kitaab, Ali Raza Abbasi aur Muhammad Raza Imaami ke haathon se katbe likhe gaye aur Shah Abbas hi ne qubba mutahhara par sona chadhaya jaisa ke qubba mutahhara ki tehreer mein zaahir kiya gaya hai.
“Banaam Khuda-e-Rahmaan-o-Raheem azeem taufeeqaate Parwardigaar mein yeh hai ke us ne Sultan-e-A'zam, Maula-e-Mulook-e-'Arab-o-'Ajam, saahib-e-nasab-e-taahir-e-nabawi hasb-e-'alawi, khaak-e-qadam-e-khuddam-e-'ataba-e-mutahharah laahooti aur ghubaar-e-na'l zuwwaar-e-Rauza-e-munawwar malakooti rooh-e-aasaar-e-ajdaad-e-ma'soomeen Sultan bin Sultan Abul-Muzaffar Shah Abbasi Husaini Musavi Safavi Bahadur Khan ko yeh sa'aadat ata ki ke woh paidal Daar-us-Saltanat Isfahan se Haram Mubaarak ki ziyarat ke liye haazir hua aur yeh sharaf haasil kiya ke qubba mutahhara ko apne khaalis maal se 1010 Hijri mein muzayyan banaaye jis ka silsila 1016 Hijri mein tamaam hua.”
Hadees Silsilat-uz-Zahab
Laa Ilaaha Illallaah mera qil'a hai. Jo us mein daakhil ho gaya mere azaab se mahfooz ho gaya.
Laa Ilaaha Illallaah mera qil'a hai. Jo us mein daakhil ho gaya mere azaab se mahfooz ho gaya.
Magar us ki shartein hain aur main un sharton mein se ek hoon.
Abul Salt kehte hain ke Imam Raza a.s. “Dah Surkh” mein pahunche to jis waqt Ma'moon ke yahan ja rahe the logon ne arz ki ke "Farzand-e-Rasool (S)! Zohr ka waqt ho gaya hai kya namaz nahin padhenge?" Aap theher gaye aur Aap ne paani talab kiya. Logon ne kaha paani to nahin hai. Aap ne dast-e-mubaarak se zameen ko khoda aur wahaan se ek chashma jaari ho gaya jis se sab ne wuzu kiya aur us ke asraat aaj tak baaqi hain. Is ke baad jab Sanabad mein daakhil hue to ek pahaad se tek laga kar baith gaye jise log taraash kar deeg wagherah banaate the. Farmaya "Khuda-wand Aalam is pahaad ko manfa'at bakhsh bana de aur jo kuch us ke bartan mein rakha jaaye use baa-barkat bana de." Phir hukm diya ke isi pahaad se Aap ke liye deegain taiyaar ki jaayen aur Aap ka khaana usi deeg mein pakaaya jaaye. Jis ke baad log deeg tarashte rahe aur barakat haasil karte rahe.