EN اردو RO AZ
🌐
English اردو Roman Azerbaijani
🏠 🔍
Imam Raza a.s. ke woh mo'jizaat jo Haram mein hue
5. Sheikh Tabarsi ra ne I'lām-ul-Warā mein bahut se mo'jizaat Imam Raza a.s. se naql karne ke baad likha hai ke shahaadat ke baad se aaj tak Mashhad Muqaddas se jin barakaat karaamaat aur 'ajaa'ib ka mushaahida kiya jaata raha hai aur logon ne us ki tasdeeq ki hai aur mukhaalif wa muwaafiq sab ne us ka iqraar kiya hai woh hadd wa ehsaa se baahar hai. Isi Mashhad Muqaddas mein maadar zaad naabeena ko aur mabrūs (koṛhī) ko shifā mili hai. Du'a'ein mustajaab hui hain, haajatein poori hui hain, shadaa'id wa masaa'ib bar-taraf hue hain aur maine bahut si cheezon ka khud mushaahida kiya hai jis mein kisi shak wa shubha ki gunjaa'ish nahin hai. Sheikh Hurr-e-'Aamili ra ne Ithbāt-ul-Hudāh mein Sheikh Tabarsi ra ke is kalaam ko naql karne ke baad farmaya hai ke mu'allif kitaab Muhammad bin al-Hasan al-Hurr kehta hai ke maine bahut se mo'jizaat ko khud dekha hai aur mushaahida kiya hai, jaisa ke Sheikh Tabarsi ra ne mushaahida kiya hai aur mujhe waise hi yaqeen haasil hai jaise unhein haasil tha. Main apne zamaana-e-mujaawarat-e-Mashhad Muqaddas mein jo taqreeban 26 saal hai, bahut si baatein is silsila mein suni hain jo hadd-e-tawaatur se baala tar hain. Aur mujhe yaad nahin hai ke maine is jagah koi du'a ki ho ya Khuda se koi haajat talab ki ho aur woh poori na hui ho, jis ki tafseel ki yahan gunjaa'ish nahin hai. Lehaza yahi ijmaal kaafi hai.