Imam Raza a.s. ki Madh mein Jaami ke Ash'aar
Mu'allif ka kehna hai ke har zamaane mein is Rauza-e-Muqaddasah se karaamaat ka zuhoor hua hai ke ab us ke bayan karne ki zaroorat nahin hai aur hum ne Baab Dovum mein A'maal-e-Shab-e-27 Rajab mein ba'z cheezon ki taraf ishaara bhi kar diya hai jo is jagah ke liye munaasib hain lekin ab tool ki gunjaa'ish nahin hai lehaza is maqaam par bayan ko khatm kar raha hoon aur Jāmī ke chand ash'ār ko Hazrat ki shaan mein naql kar raha hoon.
“Salām ho Āl-e-Tāhā wa Yāsīn par... Salām ho Āl-e-Khair-un-Nabiyyīn par...
Salām ho us Rauza par jahaan woh Imām naazil hua hai... Jis par saltanat aur deen donon naaz karte hain.”
Woh Imām barhaq Shāh-e-mutlaq... Jis ki baargāh qibla-gāh-e-salātīn hai...
Woh kākh-e-'irfān ka bādshāh aur shākh-e-ehsān ka phool... Aur sandooq-e-imkān ka gauhar aur burj-e-tamkīn ka chānd hai...
Alī bin Mūsā ar-Rizā a.s. ke jin ka laqab Rizā hua... Is liye ke Rizā hi un ka ā'īn tha... Fazl wa sharaf mein woh ek 'ālam hain... Agar tumhāri ānkhein andhī na hon... Hoorān-e-Jannat apne ko mu'attar karne ke liye un ke ghubār-e-dar ko apne gaisū-e-mushkīn mein lagati hain... Agar chahte ho ke un ka dāman haath mein ā jaaye... To jā kar har chīz se apna dāman chhuṛā lo.” Isi zamaana mein Haram Imam Raza a.s. mein kaafi wus'at ho chuki hai aur musalsal ta'meeraat ka silsila jaari hai aur har saal laakhon zaa'ireen ziyarat ka sharaf haasil kar ke aaj bhi karaamaat-e-Razawiyyah ka yeh mushaahida karte hain. (Mutarjim)