EN اردو RO AZ
🌐
English اردو Roman Azerbaijani
🏠 🔍
Kaifiyat Ziyarat Ambiyaa a.s.
In Hazraat ki ziyaaraat ke baare mein riwaayaat mein koi makhsoos ziyarat ba-zāhir waarid nahin hui hai siwaaye Ziyarat Janaab Adam a.s. wa Nūḥ a.s. ke jis ka zikr Ziyarat Ameer-ul-Momineen a.s. ke zail mein ho chuka hai lekin woh Ziyarat-e-Jāmi'ah jis ko hum ne pehli ziyarat qaraar diya hai us se ma'loom ho ta hai ke Ambiyaa Alaihimussalam ke baare mein bhi yeh ziyarat padhi jaa sakti hai aur us ka shaahid yeh hai ke Sheikh Jaleel Muhammad bin Mashhadi ra ne Mazaar mein aur Sayyid bin Ta'us ra ne Miṣbāh-uz-Zā'ir mein aur digar 'ulamaa ne Koofa mein daakhil hone ke aadaab mein isi ziyarat ko Janaab Yūnus a.s. ke liye naql kiya hai aur ihtemaal yeh hai ke yeh bayan us kulliyyah ki bunyaad par jo riwaayaat se ma'loom hota hai. Baharhaal agar koi marāqid-e-Ambiyaa mein Ziyarat-e-Jāmi'ah ko padhe to nihaayat munaasib kaam hai. Aur chunke is ziyarat se pehle zikr ho chuki hai lehaza dobaarah naql karne ki zaroorat nahin hai log isi ziyarat ki taraf rujoo' kar sakte hain.