Zikr-e-Masaajid-e-Madeenah Munawwarah
Inheen masaajid mein ek Masjid-e-Qubaa hai jis ki bunyaad roz-e-awwal se taqwa par rakhi gayi hai aur riwayat mein hai ke jo shakhs is Masjid mein jaa kar do raka'at namaz adaa karega woh jab waapas hoga to ek Umrah ka sawaab le kar waapas aayega. Lehaza is Masjid mein jaa kar do raka'at Namaz-e-Tahiyat-e-Masjid baja laayein. Is ke baad Tasbeeh-e-Janaab-e-Fatimah (S) padhein is ke baad woh Ziyarat-e-Jaame'a padhein jis ki ibteda
se hai aur jis ko hum ne pehli Ziyarat-e-Jaame'a qaraar diya hai aur aakhir-e-kitaab mein mazkoor hai. Is ke baad yeh du'a padhein.
Kyun ki yeh du'a kaafi toolani hai lehaza is maqaam par naql nahin ki gayi hai. Use Bihaar Kitaab-ul-Meezaan mein dekha jaa sakta hai.
Yahan se nikal kar Mashrabah-e-Umm-e-Ibraheem (woh hujra jahaan Ibraheem bin Paighambar (S) ki maadar-e-giraami raha karti thin aur Rasool-e-Akram (S) wahaan namaz adaa karte the) ki taraf jaa kar namaz adaa karein aur is ke baad Masjid-e-Qubaa se qareeb Masjid-e-Fazeeh (jis ko Masjid-e-Radd-e-Shams bhi kehte hain) us mein namaz adaa kare aur Masjid-e-Fatah (jise Masjid-e-Ahzaab bhi kaha jaata hai) wahaan bhi do raka'at namaz padhe aur namaz ke baad yeh du'a padhe.
يَا صَرِيْخَ الْمَكْرُوْبِيْنَ
وَ يَا مُجِيْبَ دَعْوَةِ الْمُضْطَرِّيْنَ
وَ يَا مُغِيْثَ الْمَهْمُوْمِيْنَ
اكْشِفْ عَنِّيْ ضُرِّيْ وَ هَمِّيْ
وَ كَرْبِيْ وَ غَمِّيْ
كَمَا كَشَفْتَ عَنْ نَبِيِّكَ
صَلَّى اللّٰهُ عَلَيْهِ وَ اٰلِهِ هَمَّهُ
وَ كَفَيْتَهُ هَوْلَ عَدُوِّهِ
وَ اكْفِنِيْ مَاۤ اَهَمَّنِيْ مِنْ اَمْرِ الدُّنْيَا وَ الْاٰخِرَةِ
يَاۤ اَرْحَمَ الرَّاحِمِيْنَ۔
Is ke baad Imam Zainul Aabideen a.s. aur Imam Ja'far Sadiq a.s. ke makaan, Masjid-e-Salmaan ra aur Masjid-e-Ameer-ul-Momineen a.s. jo qabr-e-Janaab Imam Hamza ra ke saamne hai aur Masjid-e-Mubaahila mein jis qadar mumkin ho namazein adaa karein aur apni haajaton ko talab karein.