Ziyarat karte waqt Naa-mahramon se baatein karne ka zikr
Mu'allif: Sheikh ke in kalimaat se andaaza hota hai ke daur-e-haazir mein kis qadar yeh badtareen soorat-e-haal paida ho gayi hai auratein ziyaarat ke bahaane apne ko aarasta kar ke behtareen libaas pehan kar gharon se nikalti hain aur us ke baad haram-e-mutahhar mein naa-mahramon ke shaana ba shaana daakhil hoti hain ke ek ka jism doosre se takraata hai ya zareeh ke paas chipak kar khadi ho jaati hain ya jahaan log mashghool-e-ziyaarat hote hain wahaan saamne khadi ho jaati hain aur woh log jo Allah ke ibaadat guzaar bande hain un ki tawajjuhaat ko apni taraf jazb kar leti hain. Zaa'ireen aur namaazi aur giryaa wa zaari karne waale afraad apne kaam se reh jaate hain aur is tarah un auraton ka shumaar un logon ke giroh mein ho jaata hai jo raah-e-Khuda se rokne waale hain. Haqeeqat-e-amr yeh hai ke is tarah ki ziyaarat ko munkiraat mein shumaar hona chahiye na ke ibaadaat mein aur is ka muhlikaat mein daakhil hona chahiye na ke asbaab-e-qurb-e-Ilaahi mein.
Imam Ja'far Sadiq a.s. se naql kiya gaya hai ke Ameer-ul-Momineen a.s. ne ahl-e-Iraq se farmaya tha ke
“Aye ahl-e-Iraq mujhe khabar de di gayi hai ke tumhari auratein raasta mein mardon ke shaana ba shaana chalti hain. Kya tumhein haya nahin aati ke bazaar mein tumhari auraton ka takra'o doosron ke saath ho.”
Yeh bhi farmaya ke “Khuda us shakhs par la'nat kare jis ke paas haya aur ghairat na ho.” Man Laa Yahzur-ul-Faqeeh mein Asbagh bin Nabaatah ne Ameer-ul-Momineen a.s. se naql kiya hai ke maine Hazrat ki zabaan se yeh irshaad suna hai ke aakhri zamaana mein aur qurb-e-qiyaamat ke daur mein jo badtareen zamaana hoga aisi auratein bhi nikal padengi jo be-hijaab hon gi. Jin ka libaas na hone ke barabar hoga. Aara'ish kar ke niklengi. Fitna mein daakhil ho jaayengi aur deen se khaarij ho jaayengi. Un ka mailaan khwaahishaat ki taraf hoga aur un ki tez raftaari lazzaton ki taraf hogi. Woh haraam ko halaal bana dengi aur nateeja mein jahannam mein hamesha hamesha rahengi.” 28 Behtar yeh hai jis zamaana mein zaa'ireen zyada hon, jo afraad zareeh tak pahunch jaayen woh apni ziyaarat ko mukhtasar kar ke fauran baahar chale jaayen taa ke doosre log bhi zareeh tak pahunchne ka sharaf haasil kar saken. Hum is silsile mein Ziyarat-e-Imam Husain a.s. ke zail mein un aadaab ka bhi zikr karenge jo mazeed Ziyarat-e-Imam Husain a.s. ke zail mein naql kiye gaye hain.