EN اردو RO AZ
🌐
English اردو Roman Azerbaijani
🏠 🔍
Zikr Namaz-e-Haajat dar Masjid-e-Koofa
Imam Sadiq a.s. se riwayat hai ke agar koi shakhs Masjid-e-Koofa mein do raka'at namaz padhe aur har raka'at mein Hamd ke baad donon Qul, Surah Ikhlaas aur Kaafiroon, Surah Nasr, Surah Qadr aur Sabbi hisma Rabbikal A'laa padhe. Salaaam ke baad Tasbeeh-e-Zahra a.s. padhe aur us ke baad Khuda se haajat talab kare. Parwardigaar us ki haajat ko poora kar dega aur du'aon ko qabool kar lega.
Suron ki yeh tarteeb Sayyid bin Ta'us ra ki riwayat ke mutaabiq hai warna Sheikh Tusi ra ne Amaali mein Surah Qadr ko Sabbi hisma ke baad naql kiya hai aur shaayad kisi tarteeb ki koi zaroorat bhi na ho aur Surah Hamd ke baad yeh saatoh surah padh liye jaayen to yahi kaafi hai.