EN اردو RO AZ
🌐
English اردو Roman Azerbaijani
🏠 🔍
Fawaa'id Ziyarat-e-Aashoora
Mu'allif kehte hain Najm-us-Saaqib mein Haaj Sayyid Ahmad Rashti ke Safar-e-Hajj ke zail mein Hazrat Saahib-ul-Asr Arwaahunaa Fidaahu se un ke sharaf-e-mulaqaat ki hikaayat darj hai jis mein Imam-ul-Asr (a.j.) ka yeh farmaan naql hua hai ke "Tum Ziyarat-e-Aashoora kyun nahin padhte Aashoora Aashoora Aashoora" aur Insha'Allah hum yeh hikaayat Ziyarat-e-Jaame'a Kabeera ke saath naql karenge. Taham hamare ustaad Siqat-ul-Islam Noori ra ka irshaad hai ke Ziyarat-e-Aashoora ke martaba wa fazeelat mein itna hi kaafi hai ke yeh ziyarat digar ziyaaraton ki tarah Ma'soom ki taraf se sirf zaahiri imlaa wa inshaa nahin go ke un ke paak dilon se jo baat nikalti hai woh aalam-e-baala se aati hai lekin yeh ziyarat Ahaadees-e-Qudsiyyah mein se hai jo isi tarteeb se ziyarat wa la'nat aur salaam wa du'a ke saath Zaat-e-Ahadiyyat se Jibra'eel Ameen tak aur un se Hazrat Khaatam-un-Nabiyyeen (S) tak pahunchi hai. Is ke tajurba wa aazmaa'ish ke mutaabiq chaalees (40) roz ya us se kam dinon tak is ko rozana padhna haajaton ke poora hone aur maqaasid ke bar aane aur dafiyyah-e-dushman ke liye be-khataa aur be-nazeer hai lekin sab se bada faayda jo is ke mutawaatir padhne se haasil hota hai woh wahi hai jise maine Kitaab Daar-us-Salaam mein darj kiya hai jo mukhtasaran yoon hai ke siqa saaleh muttaqi Haaj Mulla Hasan Yazdi ra jo paarsa afraad mein se the aur Najaf Ashraf mein ibaadat wa ziyarat mein masroof raha karte the unhon ne siqa ameen Haaj Muhammad Ali Yazdi ra se naql kiya hai jo mard faazil wa saaleh the aur Yazd mein hamesha aakhirat ki bhalaai ki khaatir mashghool-e-ibaadat rehte hain Yazd ke baahar waaqi' maqbara jis mein bahut se saaleheen madfoon hain aur use mazaar kehte hain us mein raatein guzaarte the un ka ek humsaaya tha jo un ke saath pala badha tha aur woh donon ek hi ustaad ki shaagirdi mein rahe jab woh jawan hua to us ne wasooli-e-ashr ka shughl ikhtiyaar kiya aur phir isi kaam mein dunya se chal basa woh usi jagah ke qareeb dafan hua jahan yeh mard saaleh raaton ko ibaadat karte the us ki marg par abhi ek maah na guzra tha ke is naik shakhs ne use umdah libaas aur behtareen haalat mein dekha tab woh us ke qareeb gaye aur us se kaha ke "Main tumhare aaghaaz wa anjaam-e-zindagi se waaqif hoon aur tumhare zaahir wa baatin ko jaanta hoon ke tum aise logon mein se na the jin ke baare mein yeh khayaal kiya jaaye ke un ka baatin saaf hai neez jo pesha tum ne ikhtiyaar kar rakha tha us ka taqaaza bhi yeh tha ke tum azaab mein pade raho pas woh kaun sa amal hai jis ke zariye tum is martabe par pahunche ho?" Us ne kaha ke "Ma'amla aisa hi tha jaise Aap ne farmaya hai aur jab se qabr mein aaya hoon bade hi sakht azaab mein raha hoon yahan tak ke hamare ustaad Ashraf Lohaar ki biwi yahaan dafan ki gayi aur us ke saath hi us ki jaa'e dafan ki taraf ishaara bhi kiya jo wahaan se sau gaz ke faasle par thi phir bataya ke dafan ki raat mein Imam Abu Abdullah al-Husain a.s. ne teen baar is khaa'toom ki khabar geeri farmaai jab teesri dafa tashreef laaye to Aap ne hukm farmaya ke is qabristaan par se azaab utha diya jaaye chunanche us waqt se hum sabhi ahl-e-quboor ki haalat behtar ho gayi aur hum ne'mat wa rehmat mein basar kar rahe hain." Is par woh saaleh hairat zadah ho kar bedaar hue jab ke woh na us lohaar ko jaante the na us ghar ki jaa'e wuqu' se waaqif the pas woh lohaaron ke bazaar gaye aur justujoo ki to us aurat ka khawand unhein mil gaya. Unhon ne poochha ke "Tumhari koi biwi thi?" Us ne kaha "Haan woh kal fout ho gayi aur use falaan jagah dafan kiya gaya hai." Un buzurg ne poochha ke "Aaya woh Imam Husain a.s. ki ziyarat ko gayi thi?" Us ne kaha "Nahin." "Kya woh zikr wa masaa'ib kiya karti thi?" Us ne kaha "Nahin." "Kya woh majlis-e-azaa barpa karti thi?" Us ne kaha "Nahin." Tab woh lohaar kehne laga ke "Aap kis baat ki justujoo mein hain?" Ab buzurg ne use apna khwaab sunaaya to woh kehne laga ke "Meri biwi hamesha Ziyarat-e-Aashoora padha karti thi."