EN اردو RO AZ
🌐
English اردو Roman Azerbaijani
🏠 🔍
Terhween Raat
Waazih rahe ke Rajab wa Sha'baan wa Ramadaan mein se har ek maheenah mein mustahab hai ke terhween raat mein do raka'at namaz padhe. Har raka'at mein Surah al-Faatehah aur Surahs Yasin (No. 36), al-Mulk (No. 67), and al-Tawheed. padhe aur chaudahween ki raat mein chaar raka'at namaz do salaam ke saath isi tarah padhe aur pandrahween ki raat mein chheh raka'at namaz teen salaam ke saath isi tarah se adaa kare ke Imam Sadiq Alaihissalam se marwī hai ke jo shakhs aisa karega woh un teenon maheenon ki saari fazeelat haasil kar lega aur us ke shirk ke alaawa tamaam gunaah bakhsh diye jaayenge.
Terhwaan Din
Yeh Ayyām-ul-Bīḍ ki ibtedaa hai. Is din aur us ke baad ke dinon ke rozon ka bahut sawaab waarid hua hai aur agar koi shakhs Aamal e Ummi-Dawud, baja laana chahta hai to use is din roza bhi rakhna chahiye. Is din ba-binā-e-mash'hoor 30 Aam-ul-Feel mein Makkah Mu'azzamah Khaana-e-Ka'bah mein Hazrat Ali Alaihissalam ki wilaadat ba-sa'aadat hui hai.