EN اردو RO AZ
🌐
English اردو Roman Azerbaijani
🏠 🔍
A'maal-e-Sahar Maah-e-Mubaarak Ramadaan
Yeh chand a'maal hain:
1. Sahari khaana: Sahari khaane ko tark nahin karna chahiye chahe woh ek dana-e-khurma ya ek ghont paani hi kyun na ho aur behtareen sahari khurma aur sattū hai. Riwayat mein hai ke Parwardigaar aur malaa'ika salawaat bhejte hain un logon par jo sahar ke waqt istighfaar karte hain aur sahari khaate hain.
2. Waqt-e-sahar wa iftaar Surah al-Qadr padhe ke in donon waqton ke darmiyaan us sawaab ka haamil hoga jaise koi raah-e-Khuda mein shaheed ho jaaye.