EN اردو RO AZ
🌐
English اردو Roman Azerbaijani
🏠 🔍
11, 15 aur 23 Maah-e-Dhī al-Qa'dah
Gyarah Dhī al-Qa'dah
148 Hijri mein Wilaadat Ba-sa'aadat Imam Raza Alaihissalam hai.
Pandrahween Shab
Nihaayat mubaarak raat hai jab Parwardigaar bandgaan-e-momineen par nazar-e-rehmat karta hai. Jo shakhs bhi is shab mein 'ibaadat-e-Khuda mein mashghool rahe aur ek lamha ke liye bhi ma'ṣiyat-e-Khuda na kare jaisa ke riwayat-e-Paighambar (S) mein waarid hua hai insaan is raat ko ghaneemat khayaal kare aur apne ko itaa'at wa 'ibaadat wa namaz wa talab-e-haajaat mein mashghool rakhe jaisa ke riwayat mein hai ke jo shakhs is raat mein Khuda-wand Aalam se koi haajat talab karega to Allah us ko zaroor ata karega.
Te'eesween Taarikh
203 Hijri ba-qaule Shahaadat Imam Raza Alaihissalam waaqi' hui. Nazdeek ya door se Aap ki ziyarat mustahab hai. Ibn-e-Ta'us ra ne Iqbāl mein farmaya hai ke maine apne ba'z azeem 'ulamaa ki tasnīfāt mein dekha hai ke Imam Raza a.s. ki ziyarat te'eesween Dhī al-Qa'dah ko qareeb ya ba'īd se padha kare un mash'hoor ziyaaraton ke zariye ya kisi aur ziyarat ke zariye.