Sayyid bin Ta'us ra ne kutub-e-Imāmiyyah se naql kiya hai ke is roz do raka'at namaz mustahab hai. Pehli raka'at mein Surah al-Faatehah aur Surah al-Fath (No. 48) aur doosri raka'at mein Surah al-Faatehah aur Surah al-Tawheed padhe aur salaam ke ba'd sau martaba ṣalawāt padhe aur sau martaba kahe
اَللّٰهُمَّ الْعَنْ اۤلَ اَبِىْ سُفْيَانَ
Aur sau martaba istighfaar kare phir haajat talab kare.