EN اردو RO AZ
🌐
English اردو Roman Azerbaijani
🏠 🔍
Namaaz-e-Hazrat Hujjat 'ajjalallahu ta'ala farajahuššarif
Jo Qum ke nazdeek Masjid Jamkaraan meiñ paṛhi jaati hai. Shaykh Noori rahmatullahi 'alayhi marhoom ne Najm-us-Saaqib meiñ Imam-e-Zamaanah 'alayhissalaam ke hukm se is masjid ki ta'meer ki tafseel darj ki hai jo is kitaab ke saatveñ baab ki pehli ḥikaayat hai aur us ka khulaasah yeh hai ke Aan-Hazrat sallallahu 'alayhi wa aalihi wa sallam ne Ḥasan Muslah Jamkaraani se farmaaya ke logoñ se kaho ke is muqaam ki taraf aayeñ aur ise 'azeez rakheñ aur is jagah chaar rak'at namaaz paṛheñ do rak'at taḥiyyat-e-masjid ke liye jis meiñ har rak'at meiñ ek baar Al-Ḥamd aur saat martaba Qul Huwa Allahu Ahad paṛheñ aur rukū' wa sujood ka zikr bhi saat baar kareñ aur phir do rak'at Namaaz-e-Imam-e-Zamaanah 'alayhissalaam paṛheñ jis ka tareeqah yeh hai ke jab Surah Ḥamd meiñ:
اِيَّاكَ نَعْبُدُ وَ اِيَّاكَ نَسْتَعِيْنُ۔
Parwardigaar! Hum teri hi ibaadat karte hain aur tujhi se madad chahte hain
tak pahuñche to use sau (100) martaba dohraa'eñ us ke ba'd aakhir tak Surah Ḥamd ko tamaam kareñ aur doosri rak'at bhi isi tarah paṛheñ aur rukū' wa sujood meiñ zikr saat baar kaheñ aur jab namaaz tamaam ho jaaye to Lā ilāha illā Allāh kaheñ aur Tasbeeh-e-Hazrat Faatimah 'alayhassalaam Zahra paṛheñ aur tasbeeh ke ba'd sajde meiñ sir rakh kar sau (100) baar Muhammad wa Aal-e-Muhammad sallallahu 'alayhi wa aalihi wa sallam par salawaat paṛheñ ke yeh alfaaz Hazrat Imam-e-Zamaanah 'alayhissalaam se manqool hain ke: jo shakhs ne bhi yeh do rak'at namaaz adaa kar li goya us ne Khaanah-e-Ka'bah meiñ namaaz paṛh li hai.