Do rak'at namaaz hai aur har rak'at meiñ saaṭh martaba Qul Huwa Allāh hai us ke ba'd jab namaaz se faarigh ho ga to us ke gunāh mu'aaf ho jaayeñ ge.
Doosri Namaaz-e-Bakhshish-e-Gunāh
Shaykh Ṭoosi rahmatullahi 'alayhi ne Misbah meiñ roz-e-jumu'ah ke a'maal meiñ likha hai ke 'Abdullāh bin Mas'ood se riwaayat hai ke Rasool-e-Akram sallallahu 'alayhi wa aalihi wa sallam ne farmaaya ke jo shakhs jumu'ah ke din Namaaz-e-'Asr ke ba'd do rak'at namaaz paṛhe aur pehli rak'at meiñ Ḥamd aur Aayat-ul-Kursi aur Qul A'ūdh bi-Rabbil Falaq pachchees martaba aur doosri rak'at meiñ Ḥamd aur Qul Huwa Allāh aur Qul A'ūdh bi-Rabbin Nās pachchees martaba paṛhe.
Aur phir namaaz se faarigh ho kar pachchees martaba kahe:
to us waqt tak is dunya se na jaaye ga jab tak Khuda-e-'Alam us ko khwaab meiñ Jannat meiñ us ki jagah na dikhaa de ga.
Shaykh Abbas Qummi rahmatullahi 'alayhi farmaate hain ke Sayyid bin Ṭaa'oos rahmatullahi 'alayhi ne Jamāl-ul-Usbū' teenteesveñ (33) faṣl meiñ gunāhoñ ki bakhshish ke liye ek aur namaaz naql ki hai aur farmaaya hai ke yeh ek jaleel-ul-qadr aur 'aẓīm-ush-shaan namaaz hai. Asrār-e-Ilāhī ke ḥaamil afraad ise pehchaante hain laheza hargiz us ke haq meiñ susti na karna. Ab jo shakhs paṛhna chaahta hai woh is kitaab ki taraf rujū' kare.