EN اردو RO AZ
🌐
English اردو Roman Azerbaijani
🏠 🔍
Du'a-e-Yaa Man Kabasal Arḍa
Shaykh Kaf'ami rahmatullahi 'alayhi ne Misbah meiñ farmaaya hai ke jab tumheiñ koi beemaari lāḥiq ho to har namaaz ke ba'd apni jaa'e-sajdah par haath pher kar saat martaba beemaari ki jagah par phero aur kaho:
يَا مَنْ كَبَسَ الْاَرْضَ عَلَى الْمَاۤءِ
Ay woh Khuda jisne zameen ko paani par roka,
وَ سَدَّ الْهَوَاۤءَ بِالسَّمَاۤءِ
aur aasmaanon ke zariye hawa ko rok diya
وَاخْتَارَ لِنَفْسِهِ اَحْسَنَ الْاَسْمَاۤءِ
apne naye behtareen naamon ka intekhaab kiya
صَلِّ عَلٰى مُحَمَّدٍ وَّ اٰلِ مُحَمَّدٍ
Ab Muhammad (S.A.W.) o Aal-e-Muhammad (A.S.) par rehmat naazil farma
وَّافْعَلْ بِىْ
aur mere maqaasid ko poora farma.
كَذَا وَ كَذَا وَ ارْزُقْنِىْ وَ عَافِنِىْ مِنْ كَذَا وَ كَذَا۔
Meri yeh haajaat poori kar aur mujhe is beemari se sehat o salaamati ataa farma.
Yahaañ kazā wa kazā ki jagah apni beemaari ka naam le.