Shayṭānī Waswase Door karne ka Ta'weez
Riwaayat hai ke Khuda-e-'Alam ki panāh talab kare aur phir kahe:
Imaan laaya hoon Khuda aur uske Rasool (S.A.W.) par
مُخْلِصًا لَهُ الدِّيْنَ۔
Aur usi ke liye Deen ko khaalis rakhta hoon
لَا حَوْلَ وَ لَا قُوَّةَ اِلَّا بِاللهِ الْعَلِىِّ الْعَظِيْمِ۔
Aur Shaykh Shaheed rahmatullahi 'alayhi ne Ḥazrat Rasool-e-Khuda sallallahu 'alayhi wa aalihi wa sallam se riwaayat ki hai ke Shayṭānoñ ki do qismeñ hain: Shayṭān-e-Jinn woh yeh paṛhne se door ho jaate hain:
Aur doosre Shayṭān-e-Ins aur woh Muḥammad wa Āl-e-Muḥammad sallallahu 'alayhi wa aalihi wa sallam par ṣalawaat paṛhne se door hota hai.
Shaykh Abbas Qummi rahmatullahi 'alayhi farmaate hain ke namaazoñ ke baab meiñ ḥadees-e-nafs (waswasah) wagherah ke dafa' karne ke liye ba'z ta'weezeiñ bayaan ho chuki hain. Wahaañ rujū' farmaa'eñ.