Har Namaaz Ke Ba'd Surah Tauheed Ki Fazeelat
Shaikh Kulaini (R.A.) ne mo'tabar sanad ke saath Imam Ja'far Sadiq Alaihis Salaam se riwaayat ki hai ke jo shakhs bhi Khudaawand-e-Aalam aur Roz-e-Qiyaamat par Imaan rakhta hai woh har waajib Namaaz ke ba'd Surah Qul Huwallahu Ahad ko tark na kare.
Yaqeenan jo shakhs bhi ise padhega Khudaawand-e-Aalam uske liye duniya o aakhirat ke khair ko jama' kar dega aur use uske waalidein ke tamaam a'izza ke gunaahon ko bakhsh dega.
Aur doosri hadees mein hai ke jo shakhs waajib Namaaz ke ba'd das baar Surah Qul Huwallahu Ahad padhega Khudaawand-e-Aalam Hoor-ul-A'in se usko nikaah kar dega.
Sayyid bin Taa'oos (R.A.) ne Hazrat Rasool-e-Akram (S.A.W.) se riwaayat ki hai ke jo shakhs bhi har Namaaz ke ba'd Surah Qul Huwallahu Ahad padhega uske sar par aasmaan se rehmat naazil hogi aur uske dil mein sukoon o itminaan paida hoga aur us par Khuda ki nazar-e-karam hogi. Woh uske gunaahon ko bakhsh dega aur woh jo bhi sawaal karega uski haajat ko poori karega aur woh Khudaawand-e-Aalam ki amaan mein rahega.
18. Shaikh Kulaini (R.A.) aur doosre afraad ne mo'tabar sanad ke saath Ahlebait (A.S.) se riwaayat ki hai ke jo shakhs Namaaz ke ba'd daayen haath se apni daadhi pakde aur bayaan haath aasmaan ki taraf buland kare aur teen baar kahe:
Ay Saahib-e-Jalaal o Ikraam
اِرْحَمْنِىْ مِنَ النَّارِ۔
Aag ke muqaabil mujh par reham farma.
Phir teen baar kahe:
اَجِرْنِىْ مِنَ الْعَذَابِ الْاَلِيْمِ۔
Mujh ko dardnaak azaab se bachaa le.
Phir daayaan haath thuddi se hata kar dono haath jaanib-e-aasmaan buland kare aur teen baar kahe:
يَا عَزِيْزُ يَا كَرِيْمُ
Ay Kareem! Ay Sakhi
يَا رَحْمٰنُ يَا غَفُوْرُ يَا رَحِيْمُ۔
Ay Reham waale Ay Bakhshne waale Ay Meherbaan.
Phir haathon ko palat kar aasmaan ki jaanib ulta haath kare ke hatheliyan zameen ki taraf hon aur teen baar kahe:
اَجِرْنِىْ مِنَ الْعَذَابِ الْاَلِيْمِ۔
Mujh ko dardnaak azaab se bachaa le.
Phir kahe:
وَصَلَّى اللّٰهُ عَلٰى مُحَمَّدٍ وَاٰلِهٖ
Khuda Hazrat Muhammad (S.A.W.) unki Aal (A.S.) par rehmat kare
وَالْمَلَاۤئِكَةُ وَالرُّوْحُ۔
aur farishton aur Rooh par bhi.
Phir Hazrat (A.S.) ne farmaya ke jo shakhs yeh du'a padhega Khudaawand-e-Aalam uske gunaah bakhsh dega aur usse raazi ho jaayega aur uski maut tak insaan wa jinnaat ke saath saari makhlooq uske liye Istighfaar karegi.