EN اردو RO AZ
🌐
English اردو Roman Azerbaijani
🏠 🔍
Nabi-e-Akram sallallahu 'alayhi wa aalihi wa sallam ki Janab-e-Faatima 'alayhassalaam ko ta'leem kardah du'a
18. Khulaasat-ul-Azkaar meiñ hai ke Hazrat Faatimah Zahra salaamullahi 'alayhaa se riwaayat hai ke jab maiñ ne bistar bichhaa kar sone ka iraadah kiya to mere waalid-e-muhtaram Hazrat Rasool-e-Akram sallallahu 'alayhi wa aalihi wa sallam tashreef laaye aur farmaaya ke Aye Faatimah 'alayhassalaam chaar 'amal anjaam dene ke ba'd soya karo:
1. Quraan khatm kar ke.
2. Tamaam Paighambaroñ ko apna shafi' bana kar.
3. Tamaam mo'mineen ko apne se khush kar ke.
4. Hajj wa 'Umrah kar ke.
Aur yeh farmaa kar Aan-Hazrat sallallahu 'alayhi wa aalihi wa sallam namaaz meiñ mashghool ho ga'e maiñ ne intizaar kiya jab aap ki namaaz tamaam ho gayi to maiñ ne 'arz ki ke Ya Rasool-Allah sallallahu 'alayhi wa aalihi wa sallam aap ne mujhe chaar cheezoñ ka hukm diya hai jin ko bajaa laane ki is waqt mere andar taaqat nahiñ hai.
Aap muskaraaye aur farmaaya ke agar Qul Huwa Allahu Ahad ko teen baar padh lo to goya tum ne poora Quraan khatm kar liya hai aur jab mujh par aur guzrishta Anbiyaa par durood-o-salawaat bhejo ge to roz-e-Qiyaamat ham tumhaari shafa'at kareñ ge aur jab tamaam mo'mineen ke liye istighfaar karo gi to woh sab tum se khush ho jaa'eñ ge aur jab bhi kaho gi: to goya tum ne Hajj wa 'Umrah kiya hai.
سُبْحَانَ اللهِ
Paak o Paakeezah hai Khuda
وَ الْحَمْدُ لِلّٰهِ‏
aur hamd usi ke liye hai
وَ لَاۤ اِلٰهَ اِلَّا اللّٰهُ
Nahin koi Ma'bood siwaaye Allah ke
وَ اللّٰهُ اَكْبَرُ۔
aur Khuda Buzurgtar hai