Adaa-e-Qarz ka dastoor-ul-amal
20. Riwaayat meiñ hai ke ek shakhs ne Hazrat Imam Muhammad Taqi 'alayhissalaam ki khidmat meiñ likha ke mere zimmah bahut ziyaadah qarz hai to aap ne farmaaya ke ba-kasrat istighfaar karo aur Surah Innaa Anzalnaahu ki tilaawat se apni zabaan ko tar-o-taazah rakho.