Zaalimon ki taraf maylaan o jhukaa'o paida na karo warna Jahannam ki aag tumhein lapeT mein legi aur Khuda ke ilaawa tumhaara koi madadgaar na hoga aur phir tumhaari madad na ki jaaye gi.
Aur mufassireen ne is ki yeh tafseer ki hai ke un ki taraf thoṛi si bhi raghbat na rakho jinhoñ ne zulm kiya hai ke tum bhi aatish-e-Jahannam meiñ giraftaar ho jaa'o ge.
Aur ba'z logoñ ne kaha hai ke rukoon ka matlab yeh hai ke un ke zulm meiñ shareek na ho aur na us par raazi ho aur na un se mohabbat ka izhaar karo.
Aur Ahl-e-Bayt 'alayhimussalaam ki riwaayat meiñ hai ke rukoon se muraad un ki mohabbat, naseehat aur un ki itaa'at karna hai.