Namaaz-e-Asr Ke Aadaab, Nawaafil Aur Ta'qibaat
Jab Namaaz-e-Zohar ki Ta'qeeb se faarigh ho jaaye to Namaaz-e-Asr ke liye taiyyar ho.
Phir uske Naafila ko bhi bajaa laaye. Iska Naafila bhi aath (8) rak'at hai.
Nawaafil se faarigh hone ke ba'd Namaaz-e-Asr unhi aadaab ke saath padhe jo guzar chuke hain aur behtar hai ke pehli rak'at mein Surah Hamd ke ba'd Surah Izha Jaa'a ya Surah Al-Haakum-ut-Takaasur ya unke jaisa koi Surah padhe aur doosri rak'at mein Surah Tauheed padhe aur Namaaz se faarigh hone ke ba'd jo Mushtarak Ta'qeeb padhna chahe uske ba'd Namaaz-e-Asr ki makhsoos Ta'qibaat bajaa laaye jismein sattar baar Istighfaar aur das baar Innaa Anzalnaahu shaamil hai.
Is ke ba'd Sajdah-e-Shukr kare.