Waazih rahe ke Shab-e-Juma mein bahut si namazein bhi waarid hui hain jin mein se ek (Namaz e Ameer al-Momineen) a.s. hai aur doosri do raka'at namaz hai jis mein har raka'at mein Hamd aur pandrah martaba Surah al-Zalzalah (No. 99) waarid hua hai. Jo shakhs bhi is namaz ko baja laayega Parwardigaar us ko azaab-e-qabr aur haul-e-mahshar se mahfooz rakhega.
Teesri baat yeh hai ke Namaz-e-Maghrib wa Ishaa ki pehli raka'at mein Surah al-Jumu’ah (No. 62) padhe aur doosri raka'at mein Maghrib mein Surah al-Tawheed (No. 112) aur Ishaa mein Surah al-A’la (No. 87) padhe.
Chauthi baat yeh hai ke Shab-e-Juma mein sher padhne se parhez kare ke sahih hadees mein Imam Sadiq a.s. se manqool hai ke roza daar ke liye aur haalat-e-ehraam mein aur Haram mein aur Roz-o-Shab-e-Juma sher ki riwayat karna makrooh hai. Raawi ne arz kiya ki ke chahe sher bar haq ho? Farmaya chahe woh bar haq hi kyun na ho. Lekin makrooh ka matlab yeh hai ke agar ibaadat hai to doosre auqaat ki nisbat sawaab kam hoga. (Jawadi)
Hadees mo'tabar mein Imam Ja'far Sadiq a.s. se naql kiya gaya hai ke Rasool-e-Akram (S) ne farmaya hai ke jo shakhs Shab-e-Juma ya Roz-e-Juma sher padhega woh us din aur us raat ke har sawaab se alaawa us sher ke mahroom rahega. Doosri riwayat mein yeh waarid hua hai ke is raat mein aur is din mein us ki namaz qabool na hogi.
Zaahir hai ke sher se muraad dunyawi asha'aar hai chahe un ka mazmoon sahih kyun na ho, is ka koi ta'alluq madh-e-Muhammad (S) wa Aal-e-Muhammad (S) aur mawaa'iz wa nasaa'ih par mushtamil asha'aar se nahin hai. (Jawadi)
Hadees mo'tabar mein Imam Ja'far Sadiq a.s. se naql kiya gaya hai ke Rasool-e-Akram (S) ne farmaya hai ke jo shakhs Shab-e-Juma ya Roz-e-Juma sher padhega woh us din aur us raat ke har sawaab se alaawa us sher ke mahroom rahega. Doosri riwayat mein yeh waarid hua hai ke is raat mein aur is din mein us ki namaz qabool na hogi. Zaahir hai ke sher se muraad dunyawi asha'aar hai chahe un ka mazmoon sahih kyun na ho, is ka koi ta'alluq madh-e-Muhammad (S) wa Aal-e-Muhammad (S) aur mawaa'iz wa nasaa'ih par mushtamil asha'aar se nahin hai. (Jawadi)
Is shab mein woh du'a'ein padhe jo riwaayat mein waarid hui hain. Jin ki ta'daad bahut hai aur hum un mein se sirf chand ka tazkira kar rahe hain.