A'maal-e-Rauza-e-Madeenah Munawwarah
Is ke baad Janaab-e-Fatimah Zohra (S) ki ziyaarat karo Rauza-e-Mutahhar ke paas.
Agarche Aap ke qabr-e-mutahhar ke baare mein ikhtilaaf hai aur ba'z logon ne kaha hai ke Aap ki qabr, qabr-e-Paighambar (S) aur Minbar ke darmiyaan isi jagah par hai jo Jannat ka baagh hai aur ba'z logon ne kaha hai ke Aap ki qabr khud Aap ke ghar mein hai.
Ek jama'at ka khayaal yeh hai ke Aap ko Baqee' mein dafn kiya gaya hai magar aam taur se ulamaa ka khayaal yahi hai ke Aap ki ziyaarat Rauza ke paas honi chahiye aur agar koi shakhs bhi in teen maqaamaat par ziyaarat karega to woh yaqeenan zyada fazeelat ka haamil hoga.