EN اردو RO AZ
🌐
English اردو Roman Azerbaijani
🏠 🔍
Namaz-e-Ja'far Tayyar ki Fazilat Haram Imam Raza a.s. mein
2. Allama Majlisi ra ne naql kiya hai ke Sheikh Husain bin Abdus Samad waalid Sheikh Baha'i ke hawaala se ke Sheikh Abū Tayyib Husain bin Ahmad Faqeeh Raazi ne zikr kiya hai ke jo shakhs Imam Raza a.s. ya doosre Aimma a.s. ki ziyarat kare aur wahaan Namaz-e-Ja'far Tayyar adaa kare Parwardigaar har raka'at ke badla mein us shakhs ke baraabar sawaab dega jo hazaar Hajj aur hazaar Umrah kar chuka ho aur us ko har qadam par sau Hajj, sau Umrah aur sau ghulaam azaad karne ka sawaab dega aur sau nekiyan likh kar sau buraiyon ko mahv kar dega. Namaz-e-Ja'far Tayyar ki tarkeeb A'maal-e-Roz-e-Juma mein guzar chuki hai.