Doosre A'maal Sardaab-e-Mutahhar
Mu'allif ka bayan hai ke Sayyid bin Ta'us ra ne Misbah-uz-Zā'ir mein ek fasl A'maal-e-Sardaab ki naql ki hai jis mein chheh ziyaartein naql ki hain aur us ke baad farmaya hai ke isi fasl se muta'alliq Du'a-e-Nudbah bhi hai aur woh ziyarat jo Imam-e-Zamana a.s. ki rozana subh ki namaz ke baad padhi jaati hai ke woh ziyarat haftum shumaar hoti hai aur woh Du'a-e-'Ahd hai ke jis ki tilaawat ka zamaana-e-ghaibat mein hukm diya gaya hai aur woh du'a us waqt padhi jaati hai jab Haram Shareef se nikalna chahte hain. Is ke baad unhon ne in chaaron baaton ko naql kar rahe hain.