EN اردو RO AZ
🌐
English اردو Roman Azerbaijani
🏠 🔍
Janaab Hamza ra ke Fazaa'il
Mu'allif: Janaab Hamza ra ke fazaa'il aur un ki ziyaarat ke fazaa'il bayaan se baahar hain. Fakhr-ul-Muhaqqiqeen ne apne risaala Fakhriyyah mein farmaya hai ke Janaab Hamza ra aur baqi shuhada-e-Uhud ki ziyaarat mustahab hai. Is ke liye Rasool-e-Akram (S) ki riwayat hai ke "Jo shakhs meri ziyaarat kare aur mere chacha Hamza ra ki ziyaarat na kare us ne mujh par zulm kiya hai." Haqeer ne bhi Bait-ul-Ahzaan mein naql kiya hai ke Janaab-e-Fatimah (S) wafaat-e-Paighambar (S) ke baad har haftah, Do Shanbah, Panjshanbah ke din Janaab Hamza a.s. aur Shuhada-e-Uhud ki ziyaarat ke liye jaati thin aur wahaan namaz padhti thin aur du'a karti thin aur zindagi bhar Aap ne is tareeqa ko jaari rakha tha. Mahmood bin Labeeb ka bayan hai ke Janaab-e-Fatimah a.s. Janaab Hamza a.s. ki qabr ke paas jaa kar girya karti thin aur jab main ek din Ziyarat-e-Janaab Hamza a.s. se musharraf hua to maine Aap ko qabr-e-Hamza a.s. ke paas mashghool-e-girya dekha. Maine intezaar kiya. Jab Aap ka girya theher gaya to maine jaa kar salaam arz kiya aur kaha, "Aye Sayyidatun Nisaa! Khuda ki qasam Aap ke girya ne mere dil ki ragon ko tod diya hai." Farmaya, "Aye Abu Umrah, mere liye yeh girya bahut munaasib hai ke main gham-e-Paighambar (S) mein ghamzadah rahoon, mujhe kis qadar ishtiyaaq-e-Rasool (S) hai." Aur us ke baad Aap ne yeh sher padha:
Jab bhi dunya se koi jaata hai to us ka zikr kam ho jaata hai lekin mere baap ka zikr musalsal badhta jaa raha hai.
Sheikh Mufeed ra ne farmaya hai ke
Paighambar-e-Akram (S) ne apni zindagi mein Ziyarat-e-Qabr-e-Hamza a.s. ki ta'keed ki thi aur Aap khud Qabr-e-Shuhada-e-Uhud par aate the aur Aap ki wafaat ke baad Janaab-e-Fatimah (S) musalsal subah wa shaam jaati raheen aur Musalman bhi barabar shuhada ki ziyaarat karte rahe aur un ki qabr par haazri dete rahe.