EN اردو RO AZ
🌐
English اردو Roman Azerbaijani
🏠 🔍
Ahmi min Mujeer-ul-Jaraad ka qissa
Haqeer Mu'allif ka kehna hai ke Arab mein yeh masal raa'ij hai ke "Ahmi min Mujeer-ul-Jaraad" ya'ni falaan shakhs is se zyada hifaazat karne waala hai jitni panaah us shakhs ne di thi jo tiddiyon ki hifaazat karne waala tha aur us ka qissa yeh hai ke qabeela-e-Bani Tayy ka ek sehra nasheen jis ka naam Mudlij bin Suwaid tha ek din apne khaima mein baitha hua tha ke us ne dekha ke Bani Tayy ki ek jama'at aayi jo apne saath mukhtalif zarf liye hue the to us ne poochha ke khairiyat hai. Kaha ke yahan tiddiyan aap ke khaima ke ataraaf mein bahut aa gayi hain hum unhein pakadne ke liye aaye hain. Us ne yeh suna to fauran ghode par sawaar ho gaya aur apna neza utha kar saamne aa kar khada ho gaya aur kaha ke "Khuda ki qasam agar kisi ne un tiddiyon ko haath bhi lagaaya to main us ka zibh kar doonga yeh tiddiyan jo mere khaima ki panaah mein aayi hain tum unhein pakadna chahte ho? Yeh nahin ho sakta hai" aur phir musalsal un ki himaayat mein masroof raha yahan tak ke aaftaab buland ho gaya aur tiddiyan ud gayeen. Us ke baad us ne kaha ke "Ab yeh mere jawaar se chali gayi hain lehaza tum log unhein pakad sakte ho."
Sha'ir ne kya khoob kaha hai
لُذْ اِلٰى جُوْدِهِ تَجِدْهُ زَعِيْمًا
بِنَجَاةِ الْعُصَاةِ يَوْمَ لِقَاهَا
عَاۤئِدٌ لِلْمُؤَمِّلِيْنَ مُجِيْبٌ
سَامِعٌ مَا تُسِرُّ مِنْ نَجْوَاهَا
Daar-us-Salaam mein Sheikh Dailami se naql kiya gaya hai ke Najaf ke buzurgon ki ek jama'at ne riwayat ki hai ke kisi shakhs ne khwaab mein dekha ke is sheher muqaddas mein jitni qabrein hain sab se ek rassi ka sira nikla hua hai jo Qubba-e-Ameer-ul-Momineen a.s. se mila hua hai to us ne barjasta yeh sher kaha
اِذَا مُتُّ فَادْفِنِّيْ اِلٰى جَنْبِ حَيْدَرٍ
اَبِيْ شَبَّرٍ اَكْرِمْ بِهِ وَ شُبَيْرٍ
فَلَسْتُ اَخَافُ النَّارَ عِنْدَ جِوَارِهِ
وَ لَا اَتَّقِيْ مِنْ مُنْكَرٍ وَ نَكِيْرٍ
فَعَارٌ عَلٰى حَامِي الْحِمٰى وَ هُوَ فِي الْحِمٰى
اِذَا ضَلَّ فِي الْبَيْدَاۤءِ عِقَالُ بَعِيْرٍ