Fazilat-e-Koofa
Waazih rahe ke Koofa un chaar shehron mein hai jin ko Parwardigaar-e-Aalam ne muntakhab farmaya hai aur jis ko tafseer mein “Toor-e-Sinin” bhi kaha gaya hai. Riwayat mein hai ke yeh Haram-e-Khuda, Haram-e-Rasool (S) aur Haram-e-Ameer-ul-Momineen a.s. hai. Yahaan par ek dirham sadqa bhi sau (100) ke baraabar sawaab rakhta hai aur yahan ki do raka'at namaz bhi sau (100) raka'at ke baraabar shumaar hoti hai.