Fazilat wa Kaifiyat Ziyarat Kaazimeen
Ya'ni Imam Musa Kazim a.s. wa Imam Muhammad Taqi Alaihissalam aur zikr Masjid Buraasa wa Ziyarat Nawwaab-e-Arba'a wa Ziyarat Hazrat Salmaan a.s. aur is mein chand mataalib hain.
Waazih rahe ke in donon Ma'soomeen a.s. ki ziyarat ke be-shumaar fazaa'il naql kiye gaye hain aur muta'addid riwaayaat mein waarid hua hai ke Ziyarat Imam Musa Kazim a.s. misl Ziyarat Paighambar-e-Akram (S) hai bal ke ek riwayat mein hai ke jis ne Aap ki ziyarat ki goya Paighambar-e-Akram (S) aur Ameer-ul-Momineen a.s. donon ki ziyarat ki. Aur doosri riwayat mein Aap ki ziyarat ko misl Ziyarat Imam Husain a.s. qaraar diya gaya hai aur ek hadees mein hai ke jis ne Aap ki ziyarat ki us ke liye Baagh-e-Jannat hai.
Sheikh Jaleel Muhammad bin Sheher Aashob ne Manaaqib mein Taarikh-e-Baghdad ke hawaala se naql kiya hai ke us ke mu'allif Khateeb Baghdadi ne apni sanad se Ali bin Khallaal se naql kiya hai ke jab bhi koi dushwaar mas'ala pesh aaya to hum Qabr-e-Imam Musa bin Ja'far a.s. ke paas gaye hain aur un ko waseela qaraar diya aur Parwardigaar-e-Aalam ne mushkil ko aasaan kar diya hai aur yeh bhi naql kiya hai ke Baghdad mein ek aurat ko dekha gaya ke woh Hazrat ki taraf daud kar jaa rahi hai to poochha gaya ke "Kahan jaa rahi hai?" To us ne kaha ke "Qabr-e-Imam Musa bin Ja'far a.s. ki taraf. Main wahaan apne bachcha ke liye du'a karungi jis ko giraftaar kar liya gaya hai." Ittifaaq se wahaan ek shakhs Hanbali mazhab bhi tha. Us ne us aurat ka mazaq udaaya aur kaha ke "Tumhara beta qaid khaane mein mar chuka hai." Us ne kaha "Khuda-wanda main tujhe us ka waasta de kar keh rahi hoon jo qaid khaane mein shaheed kiya gaya hai ke apni qudrat ka mo'jiza dikha de." Thodi der ke baad us ka farzand rihaa ho gaya aur us mard Hanbali ke bachcha ko us ki jagah par giraftaar kar liya gaya.
Sheikh Sadooq a.s. ne Ibraheem bin Uqbah se riwayat ki hai ke maine Imam Ali Naqi a.s. ko khat likha ke Ziyarat Imam Husain a.s. aur Ziyarat Imam Musa a.s. wa Ziyarat Imam Muhammad Taqi a.s. mein kaun si ziyarat behtar hai to Hazrat ne jawaab mein tehreer farmaya ke Ziyarat Imam Husain a.s. muqaddam hai lekin in Ma'soomon ki ziyarat intehaai jaame' aur us ka sawaab azeem tar hai.