Fazilat Roz Awwal Sha'baan
Pehli taarikh is din ke roza ki badi fazeelat hai ke Imam Sadiq a.s. se riwayat hai ke jo shakhs Maah-e-Sha'baan ki pehli taarikh ko roza rakhega behisht us ke liye laazim hai. Sayyid bin Ta'us ra ne Rasool-e-Akram (S) se be-shumaar sawaab naql kiya hai Maah-e-Sha'baan ke ibtedaa'i teen rozon ke liye. Aur us ki raaton mein do raka'at namaz ke liye. Jis mein har raka'at mein Surah al-Faatehah aur gyarah martaba Surah al-Tawheed hai.
Tafseer Imam Hasan Askari Alaihissalam mein Maah-e-Sha'baan aur us ke pehle din ki fazeelat ke baare mein mufassal riwayat hai jis ka tarjuma hamare ustaad Siqat-ul-Islam Noori neKalima Tayyibahke aakhir mein naql kiya hai. Riwayat bahut taweel hai aur yahan us ki gunjaa'ish nahin hai lekin us ka khulaasa yeh hai ke Ameer-ul-Momineen a.s. Maah-e-Sha'baan ki pehli taarikh ko Masjid mein ek jama'at ke paas se guzre jo qazaa wa qadar ke baare mein guftagu kar rahi thi aur buland aawaaz se behas kar rahi thi. Hazrat ne salaam kiya. Un logon ne jawaab diya aur ta'zeem ke liye khade ho gaye aur Hazrat ko baithne ki da'wat di.
Aap ne koi tawajjeh nahin farmaai aur farmaya ke "Aye woh logo! Jo aisi cheez mein behas karte ho jis ka koi faayda nahin hai. Kya tum ko nahin ma'loom hai ke Allah ke aise bande bhi hain jinhein khauf-e-Khuda ne saakit bana diya hai. Haalaanke woh bolne se 'aajiz nahin hain. Bal ke woh 'azmat-e-Khuda ka tasawwur karte hain to un ki zabaan mein gung ho jaati hai. Dil be-chain ho jaate hain. 'Aqlain mabhoot ho jaati hain. 'Azmat wa jalaal wa kibriyaa'ī Khuda ki wajah se. Us ke baad jab woh hosh mein aate to Khuda ki taraf rukh kar ke paakeezah amal anjaam dete hain. Apne nafs ko khata kaar tasawwur karte hain haalaanke woh khata kaar nahin hote hain magar woh Khuda ke liye mukhtasar a'maal par raazi nahin hote hain aur apne amal ko zyada nahin samajhte hain.
Musalsal amal karte rehte hain. Jab un ko dekhoge to haalat-e-'ibaadat mein larzaan nazar aayenge. Tum log kahan ho jo in baaton mein apna waqt zaaya kar rahe ho. Kya tumhein nahin ma'loom hai ke hoshiyaar tareen insaan wahi hai jis ki guftagu kam aur jaahil tareen wahi hai jo muhmal baatein karta rahe. Aye taaza amal karne walon. Aaj Maah-e-Sha'baan ki pehli taarikh hai. Parwardigaar ne is ka naam Sha'baan is liye rakha hai ke is mein nekiyon ke shu'be muntashir ho jaate hain aur nekiyon ke darwaaza khul jaate hain lehaza tum un nekiyon ko haasil karo aur Iblees bhi apne shar aur balaaon ke shu'bon ko muntashir kar deta hai lehaza koshish karo ke us ki gumraahi mein mubtila na ho aur aisa na ho ke Iblees ke shu'bon se mutamassik ho jao aur nekiyon se mahroom reh jao.
Aaj Maah-e-Sha'baan ki pehli taarikh hai. Us ke khair ke shu'bon mein namaz, roza, zakaat, amr bil ma'roof, nahī 'an il-munkar, waalidain ke saath aur aqaarib ke saath aur humsaaya ke saath neki, us ki islaah. Fuqaraa wa masaakeen par sadqa wagherah shaamil hain. Dekho un baaton mein behas na karo jin ka tum se mutaalba nahin kiya gaya hai bal ke behas karne se roka gaya hai ke tum raaz-e-Khuda ko nahin samajh sakte ho aur qazaa wa qadar mein zyada behas karoge to tabah ho jaaoge.
Agar tumhein ma'loom hota ke Parwardigaar ne apne 'ibaadat guzaar bandon ke liye aaj ke din kya sawaab rakha hai to tum yaqeenan apne ko un behson se baaz rakhte aur behtareen amal shuru kar dete jis ka Khuda ne mutaalba kiya hai. Logon ne arz ki Ya Ameer-ul-Momineen a.s. woh kya hai jis ka Khuda ne mutaalba kiya hai aur 'ibaadat guzaaron ke liye muhayya kiya hai to Hazrat ne us lashkar ke qissa ko naql kiya jis ko Rasool-e-Akram (S) ne kuffaar se jihaad ke liye bheja aur us par dushmano ne raat ke waqt hamla kar diya. Raat bhi intehaai taareekh thi Musalman so rahe the. Siwaaye Zayd bin Haarisah, 'Abdullāh bin Rawāḥah, Qatādah bin Nu'mān wa Qais bin 'Āṣim Manqarī ke koi bedaar na tha aur yeh woh afraad the jo mashghool-e-namaz wa tilaawat-e-Quran the. Dushmano ne Musalmanon par teer barsaana shuru kar diye jab ke Musalman dushmano ko andhere mein dekh bhi nahin sakte the ke apne ko bacha sakein.
Qareeb tha ke lashkar halaak ho jaaye ke naa-gaah un chand afraad ke chehre se aisa noor saati' hua ke Musalmanon ke lashkar mein roshni phail gayi aur un mein taaqat paida ho gayi. Talwaar kheench kar maidaan mein aagaye aur dushmano ko teh-e-tegh kar diya aur aseer bhi kar liya. Jab palat kar aaye aur Rasool-e-Akram (S) se waaqi'a bayan kiya to Aap ne farmaya ke yeh noor tumhare un bhaiyon ka noor tha jinhon ne Maah-e-Sha'baan ki pehli ko amal kiya. Us ke baad har ek ne apne amal ka zikr kiya yahan tak ke farmaya ke jab Roz-e-Awwal Sha'baan hota hai to Iblees apne lashkaron ko zameen ke atraaf mein phaila deta hai aur kehta hai ke "Koshish karo ke bandagaan-e-Khuda ko apni giraft mein le lo" aur doosri taraf Parwardigaar apne malaa'ika ko zameen wa atraaf-e-zameen mein bhej deta hai aur unhein hukm deta hai ke mere bandon ko bachao aur unhein nekiyon ki taraf raghbat do. Jo log maan lete hain wohi naik bakht hote hain aur jo sirkashi karte hain woh lashkar-e-Iblees mein shaamil ho jaate hain.
Khuda-wand Aalam Maah-e-Sha'baan ki pehli taarikh ko hukm deta hai ke Jannat ke darwaaze khol diye jaayen aur darakht Ṭūbā apni shaakhon ko logon par phaila dein aur us ke baad munaadi-e-Parwardigaar aawaaz deta hai ke "Aye bandagaan-e-Khuda yeh darakht Ṭūbā ki shaakhein hain lehaza in se waabasta ho jao taa ke tumhein Jannat tak pahuncha dein aur dekho doosri taraf darakht Zaqqūm ki shaakhein hain. Hoshiyaar rehna kahin yeh tumhein Jahannam tak na pahuncha dein." Rasool-e-Akram (S) ne farmaya ke "Qasam us raat ki jis ne mujhe Rasool banaaya ke jo shakhs is din mein neki ke kisi darwaaze mein daakhil hua goya darakht Ṭūbā ki shaakh se waabasta ho gaya jo use kheench kar behisht tak le jaaye gi aur jo shakhs burā'ī ke kisi darwaaze mein daakhil ho gaya goya darakht Zaqqūm ki shaakh se waabasta ho gaya aur woh use Jahannam ki taraf le jaaye gi."
Us ke baad Rasool-e-Khuda (S) ne farmaya ke "Jis shakhs ne is din Khuda ke liye koi mustahabbi namaz padhi woh goya is darakht se mu'alliq ho gaya aur jis shakhs ne is roz koi roza rakha woh bhi is darakht se waabasta ho gaya aur jis shakhs ne zan wa shauhar ke darmiyaan sulah karaai ya baap bete ya azeezon mein ya pados mein mard wa zan mein ya ajnabi mard wa aurat mein sulah karaai woh bhi is darakht se mu'alliq ho gaya aur jis shakhs ne kisi ki pareshani mein kami kar di woh bhi is darakht se mu'alliq ho gaya aur jis shakhs ne apne hisaab mein ghaur kiya aur dekha kisi puraane qarza ko jis ka talabgaar us se maayoos ho chuka hai aur phir use adaa kar diya to woh bhi is darakht se lipat gaya aur jis shakhs ne kisi yateem ki kafaalat ki woh bhi is darakht se lipat gaya aur jis shakhs ne kisi naadaan ko momin ki aabroo se baaz rakha woh bhi is darakht se waabasta ho gaya aur jis shakhs ne Quran ya us ke kuch hissa ko padh liya woh bhi is darakht se laṭak gaya aur jis shakhs ne Allah ko yaad kiya ya us ki ne'maton ko shumaar kar ke shukr kiya woh bhi is darakht se laṭak gaya aur jis shakhs ne kisi mareez ki 'iyaadat ki woh bhi is darakht se laṭak gaya aur jis shakhs ne maa baap ya un mein se kisi ek ke saath neki ki woh bhi is darakht se laṭak gaya aur jis shakhs ne kisi ghaẓabnaak kiya ho aur aaj us ko raazi kar le woh bhi is darakht se laṭak gaya aur jo janaaza ki tashyee' kare woh bhi is darakht se laṭak gaya aur jo kisi museebat zadah ko tasalli de woh bhi is darakht se laṭak gaya aur jo aaj ke din kisi kār-e-khair ko anjaam de woh bhi is darakht se laṭak gaya."
Us ke baad Paighambar-e-Islam (S) ne farmaya ke "Qasam hai us Zaat ki jis ne mujh ko haq ke saath mab'oos kiya hai ke jis shakhs ne shar ki qism ya kisi gunaah ka aaj ke roz irtikaab kiya woh darakht Zaqqūm ki kisi na kisi shaakh se laṭak gaya aur woh use Jahannam ki taraf le jaane waali hai. Qasam hai us Zaat ki jis ne haq ke saath mujh ko Paighambar banaaya hai ke jo shakhs ne is din apni waajib namaz mein kotaahi ki aur us ko zaaya' kar diya woh darakht Zaqqūm ki shaakh se laṭak gaya aur jis shakhs ke paas koi kamzor faqeer aaya aur us ne us ki haalat ko jaante hue aur yeh dekhte hue ke woh us ki haalat ke badalne par baghair kisi zaati nuqsaan ke qaadir hai aur doosra koi yeh kaam karne waala nahin hai us ko chhod de aur us ka haath na thaame to woh bhi darakht Zaqqūm ki shaakh se laṭak gaya aur jis shakhs se koi ghalat kaar insaan 'uzr kare aur yeh us ko us ki burā'ī se zyada saza de de aur us ke 'uzr ko qabool na kare woh bhi shaakh-e-Zaqqūm se laṭak gaya aur jo shakhs shauhar wa zauja ke darmiyaan ya baap aur aulaad ke darmiyaan ya azeezon ke darmiyaan ya padosiyon ke darmiyaan ya doston ke darmiyaan ya behnon ke darmiyaan judaai daal de woh bhi shaakh-e-Zaqqūm se laṭak gaya aur jo shakhs kisi tang dast par us ki haalat ko jaante hue sakhti kare aur us ke masaa'ib mein izafa kar de woh bhi shaakh-e-Zaqqūm se laṭak gaya aur jis shakhs par qarza ho aur woh us ka inkaar kar ke ziyaadati kare aur koshish kare ke qarza ko bātin kar de woh bhi darakht Zaqqūm se laṭak gaya aur jo shakhs kisi yateem par zulm kare ya takleef de ya us ke maal ko barbaad kar de woh bhi shaakh-e-Zaqqūm se laṭak gaya aur jo shakhs kisi momin ki 'izzat ko barbaad kare aur logon ko us par aamaada kare woh bhi shaakh-e-Zaqqūm se laṭak gaya aur jo is tarah gaana gaaye ke us ke gaane se log gunaahon par aamaada ho woh bhi shaakh-e-Zaqqūm se laṭak gaya aur jo shakhs baith kar jungon mein apne bure sulook ko shumaar kare aur bandon par apne zulm wa sitam ko yaad kar ke fakhr kare woh bhi shaakh-e-Zaqqūm se laṭak gaya aur jis ka padosi beemaar ho aur woh use ma'moooli samajhte hue 'iyaadat na kare woh bhi shaakh-e-Zaqqūm se laṭak gaya aur jis ka padosi mar gaya aur us ne namaz-e-janaazah ki mushāyee'at na ki us ko zaleel samajhte hue woh bhi shaakh-e-Zaqqūm se laṭak gaya aur jo shakhs museebat zadah ko zaleel kehte hue us se rukh gardāni kare aur us par zulm kare woh bhi darakht Zaqqūm se laṭak gaya aur jo shakhs maa baap ya un mein se kisi ek ka 'āq ho gaya woh bhi shaakh-e-Zaqqūm se laṭak gaya aur jo shakhs maa baap ka 'āq raha aur unhein qaadir hone bawajood khush na kare woh bhi shaakh-e-Zaqqūm se laṭak gaya.
Isi tarah koi shakhs bhi agar koi burā'ī kare to woh shaakh-e-Zaqqūm se laṭak gaya. Qasam hai us Zaat ki jis ne mujh ko haq ke saath mab'oos kiya hai ke darakht Ṭūbā ki shaakhon se laṭak jaane waale Jannat ki taraf buland hote hain. Yeh keh kar Aap ne apni nigaah aasmaan ki jaanib ki aur kuch muskaraaye aur phir nigaah zameen par daali aur peshaani par aasaar-e-nāraazgi numāyān ho gaye aur aṣḥāb ko dekh kar farmaya ke "Qasam hai us Zaat ki jis ne Muḥammad (S) ko haq ke saath mab'oos kiya hai ke maine darakht Ṭūbā ko buland hote dekha hai aur un logon ko Jannat ki taraf buland karte dekha hai jo us ki ek shaakh ya kayi shaakhon se apni itaa'at ke lihaaz se liptte hue the."
Chunanche jab maine Zayd bin Ḥārisah ko us ki kayi shaakhon se liptta hua dekha ke woh shaakhein use Jannat ke 'Allīyīn ki taraf le jaa rahi hain to hans pada aur khush ho gaya aur phir maine zameen ki taraf nigaah ki to qasam hai us Zaat ki jis ne mujh ko haq ke saath bheja hai ke maine Zaqqūm ke darakht ko dekha ke us ki shaakhein neeche ki taraf jaa rahi hain aur un logon ko bhi dekha jo us ki ek shaakh ya kayi shaakhon se apni nāfarmānī ki wajah se chipṭe hue the aur woh unhein Jahannam ki taraf le jaa rahi thin aur maine dekha ke kuch log ek shaakh se aur kuch log do shaakhon ya chand shaakhon se lipṭe hain. Aur maine ba'z munāfiqon ko dekha ke zyada shaakhon se laṭke hue hain aur woh unhein Jahannam ke aakhiri ṭabaqa ki taraf le jaa rahi hain. Is wajah se mujh par aasaar-e-kabīdgi zaahir ho gaye aur mera chehra mutaghayyar ho gaya aur peshaani par shikan aa gayi.)