EN اردو RO AZ
🌐
English اردو Roman Azerbaijani
🏠 🔍
Roz-e-Nīmah-e-Sha'baan
Behtareen 'Eid ka din hai jo Hazrat Imām 'Asr 'Ajjala Allāhu Ta'ālā Farajahu ash-Sharīf ka din hai aur is din mein har zamān aur har makān mein Hazrat ki ziyārat aur aap ke zuhūr ke liye du'ā mustahab hai khuṣūṣiyyat ke sāth Sāmarrā aur Sardāb mein yeh du'ā kī jaaye ke aap ka zuhūr yaqīnī hai aur aap kī ḥukūmat bhī qaṭ'ī hai. Āp hī woh hain jo zulm-o-jōr se bharī huī dunyā ko 'adl-o-inṣāf se bhar deñge.
Maah-e-Sha'bān ke bāqī a'māl
Imam Riza (AS) se naql kiya gaya hai ke jo shakhs bhi Maah-e-Sha’baan ke aakhir mein teen din rozah rakh kar usay Maah-e-Ramzaan se mila de us ko do maheena ka sawaab mil jaayega. Abul Salt Harwi ne riwayat ki hai ke Maah-e-Sha’baan ke aakhiri Jumu’ah mein Imam Riza (AS) ki khidmat mein haazir hua to aap ne farmaaya ke "Abul Salt Maah-e-Sha’baan ka ziyadah hissah guzar gaya hai." "Ab yeh aakhiri Jumu’ah hai lihaza jo kootaahiyañ ho gayee hain un ki talaafi karo aur woh kaam karo jo mufeed hai. Du’a aur istighfaar karo. Tilaawat-e-Qur’an karo. Gunaahoñ se taubah karo taake jab Maah-e-Mubaarak aaye to bilkul paak-o-saaf raho aur khabardaar tumhaari gardan par kisi ki amaanat aur koi haqq na reh jaaye magar yeh ke adaa kar do aur khabardaar dil mein kisi ka keenah na rahe aur agar koi gunaah kiya hai to us se taubah karo aur usay tark kar do. Woh Khuda hai, usi par bharosa karo aur har haal mein usi par tawakkul karo aur is du’a ko musalsal paṛhte raho."
اَللّٰهُمَّ اِنْ لَمْ تَكُنْ غَفَرْتَ لَنَا فِيْمَا مَضٰى مِنْ شَعْبَانَ
Khudaya agar tu ne Maah-e-Sha'baan ke guzashtah dinoñ mein hameiñ ma'aaf nahin kiya hai
فَاغْفِرْ لَنَا فِيْمَا بَقِيَ مِنْهُ
Yaqeenan is maah mein Parwardigaar beshumaar bandoñ ko aatish-e-jahannum se azaad karta hai.
To in baaqi dinoñ mein hameiñ bakhsh de.