Ramazaan ki Raaton ki Namazein
Khaatima roz wa shab ki mash'hoor namazon ka tazkira Allama Majlisi ra ne A'maal-e-Maah-e-Ramadaan ki aakhiri fasl mein Zād-ul-Ma'ād mein naql kiya hai aur main yahan sirf Aap hi ke bayan ko naql kar raha hoon.
Namaz Shab Awwal Maah-e-Ramadaan: Chaar raka'at namaz hai. Har raka'at mein Surah al-Faatehah ke baad 15 martaba Surah al-Tawheed
Doosri Shab: Chaar raka'at namaz har raka'at mein Surah al-Faatehah ke baad bees martaba Surah al-Qadr.
Teesri Shab: Das raka'at har raka'at mein Surah al-Faatehah aur pachās martaba Surah al-Tawheed.
Chauthi Shab: Aath raka'at har raka'at mein Surah al-Faatehah aur bees martaba Surah al-Qadr.
Paanchween Shab: Do raka'at har raka'at mein Surah al-Faatehah ke baad pachās martaba Surah al-Tawheed aur namaz ke baad sau martaba salawaat.
Chhatti Shab: Chaar raka'at har raka'at mein Surah al-Faatehah ke baad Surah al-Mulk (No. 67)..
Saatween Shab: Chaar raka'at har raka'at mein Surah al-Faatehah aur terah martaba Surah al-Qadr.
Aathween Shab: Do raka'at har raka'at mein Surah al-Faatehahaur das martaba Surah al-Tawheed aur salaam ke baad hazaar martaba Subḥānallāh.
Nauween Shab: Namaz-e-'Ishaa aur sone ke darmiyaan chheh raka'at, har raka'at mein Surah al-Faatehah ke baad saat martaba Ayah al-Kursi aur namaz ke baad pachās martaba salawaat.
Dasween Shab: Bees raka'at har raka'at mein Surah al-Faatehah aur tees martaba Surah al-Tawheed.
Gyarahween Shab: Do raka'at har raka'at mein Surah al-Faatehah aur bees martaba Surah al-Kawthar (No. 108).
Baarahween Shab: Aath raka'at har raka'at mein Surah al-Faatehah aur tees martaba Surah al-Qadr.
Terahween Shab: Chaar raka'at har raka'at mein Surah al-Faatehah aur pachchees martaba Surah al-Tawheed.
Chaudahween Shab: Chheh raka'at har raka'at mein Surah al-Faatehah aur tees martaba Surah al-Zalzalah (No. 99).
Pandrahween Shab: Chaar raka'at pehli do raka'aton mein Surah al-Faatehah ke baad sau martaba Qul Huwallāh aur aakhiri do raka'aton mein Surah al-Faatehah ke baad pachās martaba Surah al-Tawheed.
Solahween Shab: Baarah raka'at har raka'at mein Surah al-Faatehah ke baad baarah martaba Surah al-Takathur (No. 102).
Satrahween Shab: Do raka'at pehli raka'at mein Surah al-Faatehah ke baad jo Surah chahe aur doosri raka'at mein Surah al-Faatehah ke baad sau martaba Surah al-Tawheed aur namaz ke baad sau martaba Lā ilāha illallāh.
Aṭhṭhārahween Shab: Chaar raka'at har raka'at mein Surah al-Faatehah ke baad pachchees martaba Surah al-Kawthar.
Unneesween Shab: Pachās raka'at Surah al-Faatehah aur pachās martaba Idhā Zulzilat-il-Arḍ ke saath. Shaayad maqsad yeh hai ke pachās martaba Surah al-Zalzalah (No. 99)..
Pachās raka'at mein ya'ni har raka'at mein ek martaba Idhā Zulzilat-il-Arḍ padhe aur. Beesween, ekkīsween, bā'eesween, te'eesween aur chauveesween shab mein aath raka'at Hamd ke baad jo Surah chahe woh padhe.
Pachcheesween Shab: Aath raka'at har raka'at mein Surah al-Faatehah aur das martaba Surah al-Tawheed.
Chhabbīsween Shab: Aath raka'at har raka'at mein Surah al-Faatehah aur sau martaba Surah al-Tawheed.
Sattā'īsween Shab: Chaar raka'at har raka'at mein Surah al-Faatehah aur Surah al-Mulk aur agar na ho sake to pachchees martaba Surah al-Tawheed.
Aṭhṭhā'eesween Shab: Chheh raka'at har raka'at mein Surah al-Faatehah ke baad sau martaba Ayah al-Kursi, sau martaba Surah al-Tawheed sau martaba Surah al-Kawthar aur namaz ke baad sau martaba salawaat.
Mu'allif ka bayan hai ke aṭhṭhā'eesween shab ki namaz jaisa ke maine dekha hai is tarah hai ke chheh raka'at namaz padhe. Pehle Surah al-Faatehah aur das martaba Ayah al-Kursi das martaba Surah al-Kawthar das martaba Surah al-Tawheed aur sau martaba salawaat ke saath.
Unnateesween Shab: Do raka'at har raka'at mein Surah al-Faatehah aur bees martaba Surah al-Tawheed.
Teesween Shab: Baarah raka'at har raka'at mein Surah al-Faatehah aur bees martaba Surah al-Tawheed aur namaz se faarigh hone ke baad sau martaba salawaat.
Zaahir hai ke in tamaam namazon mein har do raka'at ke baad salaam zaroori hai.